Lyrics : Bashir Badr (1)
Nida Fazli (2 and 7)
Faragh Roohvi (3)
Ayaz Jhansvi (4)
Zafar Gorakhpuri (5)
Rustom Sehgal Wafa (6)
Shahryar (8)
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh
1. khudaa humko aisi khudaayi na de
ke apne siwa kuchch dikhaayi na de
khatawaar samjhegi duniyaan tujhe
ke itni ziyaada safaayi na de
hanso aaj itna ke is shor mein
sada siskiyon ki sunaai na de
abhi to badan mein lahoo hai bahot
kalam cheen le roshnaayee na de
khuda aise ehsaas ka naam hai
rahe saamne aur dikhayi na de
2. ab khushi hai na koi gham rulaane-waala
humne apna liya har rang zamaane-waala
usko rukhsat to kiya tha mujhe maloom na tha
saara ghar le gaya, ghar chod ke jaane-waala
ik musafir ke safar jaisi hai sabki duniyan
koi jaldi mei koi de'r se jaane-waala
ek be-chehra si ummeed hai chehra-chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane-waala
3. dekha jo aa'inah to mujhe sochna pada
khud se na mil saka to mujhe sochna pada
uska jo khat mila to mujhe sochna pada
apna sa wo laga to mujhe sochna pada
mujhko tha gumaan ke muhhi-mein hai ek wana
dekha teri anaa to mujhe sochna pada
duniya samajh rahi thi ke naraaz mujhse hai
lekin wo jab mila to mujhe sochna pada
ik din wo mere aib ginaane laga karaar
jab khud hi thak gaya to mujhe sochna pada
4. na shiwaale, na qalisa, na haram jhoote hain
bas yahi sach hai ke tum jhoote ho hum jhoote hain
humne dekha hee nahi bolte unko ab taq
kaun kehta hai ke pathar ke sanam jhoote hain
unse miliye to khushi hoti hai unse milkar
sehar ke doosre logon se jo kam jhoote hain
kuch to hai baat jo tehriron mein taasir nahin
jhoote fanqaar nahin hain to qalam jhoote hain
5. dhoop hai kya aur saaya kya hai ab maloom hua
ye sab khel tamasha kya hai ba maloom hua
hanste phool ka chehra dekhoon aur bhar aayi aankh
apne saath ye kissa kya hai ab maloom hua
hum barson ke baad bhi unko ab taq bhool na paaye
dil se unka rishta kya hai ab maloom hua
sehra sehra pyaase bhatke saari umr jale
baadal ka ik tukda kya hai ab maloom hua
6. kya khabar thi is tarah se wo juda ho jaayega
khwaab mein bhi uska milna khwaab sa ho jaayega
zindagi thi qaid hum'me kya nikaaloge use
maut jab aa jaayegi to khud rihaa ho jaayega
dosth bankar usko chaaha ye kabhi socha na tha
dosthi hee dosti mein wo khudaa ho jaayega
uska jalwa hoga kya jiska ke parda noor hai
jo bhi usko dekh lega wo fidaa ho jaayega
7. tanha tanha hum ro lenge mehfil mehfil gaayenge
jaB taq aansoo saath rahenge tab taq geet sunaayenge
tum jo soncho wo tum jaano hum to apni kehte hain
der na karna ghar jaane mein warna ghar kho jaayenge
bachchon ke chote haathon ko chaand sitaaren choone do
chaar kitaabe padh kar wo bhi hum jaise ho jaayenge
kin raahon se door hai manzil kaun sa rasta aasaan hai
hum jab thal kar ruk jaanenge, auron ko samjhayenge
achchi soorat waale saare patthar dil hon mumkin hai
hum to us din raayen denge jis din dhokha khaayenge
8. aise hijr ke mausam tab tab aate hain
teRe alaawa yaad hame sab aate hain
jaadu ki aankhon se bhi dekho duniya ko
khwaabon ka kya hai wo har sab aate hain
ab ke safar ki baat nahin baaqi warna
hum ko bulaayen dasth se jab wo aate hain
kaagaz ki kasthi mein dariya paar kiya
dekho hum ko kya kya kartab aate hain
No comments:
Post a Comment