Lyrics : Faruk Kaiser (1)
Shamim Shahabadi (2,16)
Jigar Moradabadi (3,4,12,13)
Momin (5)
Ghalib (6,8,11)
Zauq (7)
Daag (9)
Krishan Adeeb (10,15)
Dagh Dehlavi (14)
Meer Taqi Meer (17)
Ameer Meenai (18)
Music : Jagjit Singh except 1 & 2 by C.K. Chauhaan
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh
Doston,
zehan ke kisi kone se jhaank rahi hain kuch
aisi ghazalen jo aap hi nahin, main bhi bhool
chuka hoon.
Ho sakta hain app mein se kuch logon ne inhe suna
bhi na ho, kyoon ki ye HMV ka wo khazana hai jo aaj
se pachhees saal pehle alag alag LPs par release
hua tha aur ab cassette or CD ki shakl mein aap
tak pahunch raha hai.
aaeeye unhi bhoolee bisri yaadon ko awaaz de aur
sune' un ghazalon ki gungunati aahat.
-Jagjit
1. apna gham bhool gaye, teri jafa bhool gaye
hum to har baat mohabbat ke siwa bhool gaye
hum akele hi nahin pyaar ke diwaane sanam
aap bhi nazren jhookaanen ki adaa bhool gaye
ab to socha hai ke daaman hi tera thaamenge
haath jab humne uthaaye hain dua bhool gaye
shukr samjho ya ise apni shikaayat samjho
tumne wo dard diya hai ke dawa bhool gaye
2. aankh ko jaam samajh baitha tha anjaane mein
saaqiya hosh kahan tha tere diwaane mein
jaane kis baat ki unko hai shikaayat mujhse
naam tak jinka nahin hai mere afsaane mein
dil ke tukdon se teri yaad ki khushboo na gayi
hue main baaqi hai toote huye paimaanon mein
dil-e-barbad mein umeed ka aalam kya hai
timtimathi huyee ik shamma hai veeraane mein
3. ye kiska tassavvur hai, ye kiska fasaana hai
jo ashK hain aansoon mein takbeeh ka daana hai
aankhon mein nameen si hai chup-chup se wo baithe hain
nazook si nighahon mein naazook sa fasana hai
ye ishk naheen aasaan itna to samaJh leeje
ik aag ka dariyaa hai aur doob ke jaana hai
ya wo the' khafa humse, ya hum hain khafa unse
kal unka zamaanaa tha, aj apna zamaana hai
4. mujhe de rahe hain tasalliyaan wo har ek tazaa payaam se
kabhi aake manzir-e-aam par kabhi hat ke manzir-e-aam se
na garaz kisi se na waastha mujhe kaam apne hi kaam se
tere zikr se, teri fikr se, teri yaad se, tere naam se
mere saaqiya mere saaqiya tujhe marhawa tujhe marhawa
tu pilaaye jaa tu pilaaye jaa isi chashm-e-jaam-wa-jaam se
teri suboh aish hai kya bala tujhe ae falak jo ho hausla
kabhi kar le aa ke mukaabala gham-e-hiJr-e-yaar ki shaam se
5. wo jo hum mein tumme qaraar tha tumhe yaad ho ke na yaad ho
wo hi aani waala nebaahta tumhe yaad ho ke na yaad ho
wo naye gile wo shikaayate wo maze-maze ki hikaayaten
wo har ek baat pe roothna tumhe yaad ho ke na yaad ho
koi baat aisi agar huyee jo tumhare jee ko buree lagi
to bayaan se pehle hi bhoolna tumhe yaad ho ke na yaad ho
jise aap ginte the aashnaa jise aap kehte the baawafaa
main wohi hooN 'momin'-e-mubtila tumHe yaad ho ke na yaad ho
6. bus ke dushwaar hai har kaam ka aasaan hona
aadmee ko bhee muyassar nahin insaan hona
kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba
haay us zood_pashemaan ka pashemaan hona
haif us chaar girah kapde ki qismat 'Ghalib'
jis ki qismat mein ho aashiq ka girebaan hona
7. ab to ghabrake ye kehte hain ke mar jayenge
mar ke bhi chain naa paaya to kidhar jayenge
laaye jo masth hain turbat pe gulaabi aankhen
aur agar kuch nahin do phool to dhar jaayenge
hum nahin wo jo karen khoon ka daawa tujhse
bal ke poochega khuda bhi to mukar jayenge
8. kab se hoon kya bataaun jahaan-e-kharaab mein
shab haaye hizr ko bhi rakhun gar hisaab mein
taakhir na intezaar mein neend aaye umr bhar
aane ka 'ehed kar gaye aaye jo khwaab mein
qaasid ke aate aate khat ik aur likh rakhun
main jaanta hoon jo wo liKhenge jawaab mein
9. dil ko kya ho gaya khuda jaane
kyoon hai aisa udaas kya jaane
keh diya maine haal-e-dil apnaa
isko tum jaano ya khuda jaane
jaante-jaante hi jaanega
mujhme kya hai abhi wo kya jaane
tum na paaoge sada-dil mujhsa
jo tagaful ko bhi hayaa jaane
10. shaheron shaheron aaj hai tanhaa dil par gehra daag liye
galiyon galiyon ho gaye ruswaa dil par gehra daag liye
aaj gulistaan mein failee hai khusboo teri yaadon ki
mausam-e-gul hai hum hain tanha dil par gehra daag liye
rote dhote jee ko jalaate manzil-e-shab tak aa pahunche
chere par hai gard-e-tamanna dil par gehra daag liye
dhoondne unko shaher-e-buta mein aaj gaye the' hum bhi 'Adeeb'
aankh mein lekar gum ka dariyaa dil par gehra daag liye
11. fir kuchch is dil ko beqaraari hai
seena zoya-e-zakhm-e-kaaree hai
fir jigar khodane laga naakhun
aamad-e-fasl-e-laala_qaaree hai
fir usee bewafaa pe marte hain
fir wohee zindagee hamaaree hai
bekhudi be_sabab nahin 'Ghalib'
kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai
12. os pade bahaar par aag lage kanaar mein
tum jo nahin kanaar mein lutf hi kya bahaar mein
uspe kare khuda rahem gardish-e-rozgaar mein
apnee talaash chhodkar jo hai talaash-e-yaar mein
hum kahin jaane waale-e-ahed daaman-e-ishq chodkar
zeest tere huzur mein, maut tere dayaar mein
13. ishq fana ka naam hai, ishq mein zindagi na de
jalwa-e-aaftaab ban, zarre mein roshni na de
shauq ko rehnuma bana jo ho chuka kabhi na de
aag dabi huyi nikaal aag bujhi huyi na de
tuJhko khuda ka waasta tu meri zindagi na de
jiski sehar bhi shaam ho uski siyaah shabi na de
14. ajab apna haal hota jo wisaal-e-yaar hota
kabhi jaan sadke hoti kabhi benisaar hota
na maza hai dushmani mein, no hai lutf dosti mein
koi ghair-ghair hota koi yaar-yaar hota
ye maza tha dillagi ka, ke baraabar aag lagti
na tumhe qaraar hota na humen qaraar hota
tere waade par sitamgar abhi aur sabr karte
agar apnee zindagi ka hume aitbaar hota
15. jab bhi aati hai teri yaad kabhi shaam ke baad
aur badh jaati hai afsoorda-dili shaam ke baad
ab iraadon pe bharosa hai na tauba pe yakeen
muJhko le jaa re kahan tashna_labi shaam ke baad
yun to har lamhaa teri yaad ka boJhal guzraa
dil ko mehsoos hui teri kami shaam ke baad
yun to kuch shaam se pehle bhi udaasi thee 'Adeeb'
ab to kuch aur badhi dil ki lagi shaam ke baad
16. dhuaan utha thaa diwaane ke jalte ghar se saari raat
lekin wo khaamosh rahe duniya ke dar se saari raat
raat yun jalte dil par teri yaadon ki barsaat huyi
jaise ik pyaase ki chitha par barkha barse saari raat
saari raat to sapne dekhe subah ko ye mehsoos hua
humNe apna sar takraaya ik pathhar se saari raat
17. patha-patha boota-boota haal hamaara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane baag to saara jaane hai
chaara gareebi maariye dil ki rasm-e-shehar-e-husn nahin
warna dilbar ae' naadaan bhi is dard ka chaara jaane hai
mehar-o-wafa-o-lutf-o-inaayat ek se waakif inmein nahin
aur to sab kuch tanz-o-kinaaye ranjo ishaara jaane hai
18. uski hasrat hai jise dil se mita bhi na sakoon
dhoondne usko chala hoon jise paa bhi na sakoon
meharbaan hoke bula lo mujhe chaaho jis waqt
main gaya waqt nahin hoon ke fir aa bhi na sakoon
daal kar khaak mere khoon pe qaatil nikaah
kuch ye mehndi nahin meri ke chupaa bhi na sakoon
zauf mein taa maye agiyaar ka shikwaa kya hai
baat kuch sar to nahin hai ke utha bhi na sakoon
zabt kambakht ne aur aake gala ghonta hai
ke use' haal sunawoon to suna bhi na sakoon
zaher milta hi nahin mujhko sitamgar warna
kya kasam hai tere milne ki ke kha bhi na sakoon
uske pehloon mein jo le jaake sulaa doon dil ko
neend aisi use' aaye ke jagaa bhi na sakoon
No comments:
Post a Comment