Friday, September 4, 2009

Insight

1. garaj baras pyaasi dharthi par phir paani de maula
chidiyoN ko daane bacchoN ko guD-dhaani de maula

do aur do ka jod hamesha chaar kahan hota haiN
soch samajh waaloN ko thoDi naadaani de maula

phir roshan kar zeher ka pyaala chamka nayee salibeN
jhootoN ki duniya meiN sach ko taabaani de maula

phir moorath se bahar aakar chaaroN aur bhikar ja
phir mandir ko koi meera deewaani de maula

tere hote koi kisi ki jaan ka dushman kyooN ho
jeene waaloN ko marne ki aasaani de maula



2. Dohe



3. badlaa na apne aap ko jo the vahii rahe
milte rahe sabhii se magar ajnabii rahe

duniyaa na jeet paao to haaro na Khud ko tum
Tho.Dii bahut to zaheN mein naaraazagii rahe

apni tarah sabhii ko kisii kii talaash thii
ham jiske bhii qariib rahe duur hii rahe

guzro jo baaG se to duaa maa.Ngate chalo
jismeiN khile hain phool wo Daalii harii rahe



4. ye zindagii
aaj jo tumhaare badan kii chhoTii-baDii nasoN meiN
machal rahii hai tumhaare pairoN se chal rahii hai
ye zindagii
tumhaarii aawaaz meiN Gale se nikal rahii hai
tumhaare lafzoN meiN Dhal rahii hai
ye zindagii
jaane kitne sadiyoN se yuuN hii shaqleiN
badal rahii hai
badalatii shaqleiN
badalate jismoN meiN
chaltaa-phirtaa ye ik sharaaraa
jo is ghaDii naam hai tumhaaraa
isii se saarii chahal-pahal hai
isii se roshan hai har nazaaraa
sitaare toDo yaa ghar basaao
qalam uThaao yaa sar jhukaao
tumhaarii aaNkhoN kii roshnii tak
hai khel saaraa
ye khel hogaa nahiiN dubaaraa
ye khel hogaa nahiiN dubaaraa


5. Jeevan kya hai



6. muuNh kii baateN sune har koii, dil kaa dard na jaane kaun
aavaazoN ke baazaaroN meiN Khaamoshii pehachaane kaun

sadiyoN sadiyoN wahii tamaashaa rastaa rastaa lambii khoy
lekin jab ham mil jaate haiN, kho jaataa hai jaane kaun

vo meraa aaeenaa hai maiN us kii parachhaaii huuN
mere hii ghar meiN rehtaa hai, mujh jaisaa hii jaane kaun

kiran kiran halkaa saa suuraj, palak palak khultii niiNndeN
yuuN hii dil pighal rahaa hai, zaRRaa-zaRRaa jaane kaun




7. apna gham le ke kahin aur na jaaya na jaye
ghar meiN bikhri huee cheezoN ko sajaaya jaye

jin chiragoN ko hawaOn ka koi khauf nahiN
un chiragoN ko hawaOn se bachaya jaye

baag mein jaanay ke aadaab hua karte haiN
kisi titlee ko na phoolon say udaya jaye

ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar le
kisi rote huye bachay ko hansaya jaye


8. chaaNd se phool se yaa merii zubaaN se suniye
har taraf aap kaa qiSSaa jahaaN se suniye

sab ko aataa hai duniyaa ko sataa kar jiinaa
zindagii kyaa mohabbat kii duaa se suniye

merii aawaaz pardaa mere chehare kaa
maiN hooN Khaamosh jahaaN muJhko wahaaN se suniye

kyaa zaRooii hai ki har pardaa uThaayaa jaaye
mere haalaat apne apne makaaN se suniye





Lyrics : Nida Fazli (1,2,3,4,5,6,7,8)
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh

No comments: