Thursday, June 17, 2010

Soz (Pathos)

Soz (Pathos)

1.   tamanna fir machal jaaye agar tum milne aa jaao
     ye mausam hi badal jaaye agar tum milne aa jaao
     mujhe gham hai ke maine zindagi mein kuch nahin paaya
     ye gham dil se nikal jaaye agar tum milne aa jaao
     nahin milte ho mujhse tum to sab humdard hain mere
     zamana mujhse jal jaaye agar tum milne aa jaao
     ye duniya bhar ke jhagde ghar ke kisse kaam ki baaten
    bala har ek tal jaaye agar tum milne aa jaao



2.   aap bhi aayiye humko bhi bulaate rahiye
     dosthi zurm nahin dosth banaate rahiye

     zaher pee jaaiye aur baantiye amrit sabko
     zakhm bhi khaaiye aur geet bhi gaate rahiye

     waqt ne loot lee logon ki tammannayen bhi
     khwaab jo dekhiye auron ko dikhaate rahiye

     shakl tho aapke  bhi zahen mein hogi koi
     kabhi ban jaayegi tasveer banaate rahiye




3.   ab agar aao tho jaane ke liye math aana
     shirf ehsaan jataane ke liye math aana

     meaine palkon pe tammannnayen saza rakhi hai
     dil mein ummeed ki  sau shammen jala rakhi hai
     ye hasin shammen bujhane ke liye math aana

     pyaar ki aag mein zanzeeren pighal sakti hai
     chaahne waalon ki takdeeren badal sakti hai
     tum ho bebas ye bataane ke liye math aana

     ab tum aana jo tumhe mujhse mohabbat hai koi
     muJhse milne ki agar tumko bhi chaahat hai koi
     tum koi rasm nibhaane ke liye math aana


4.   shaam hone ko hai
     laal suraj samandar mein khone ko hai
     aur uske pare kuch parinde kataare banaaye
     unhi jungalon ko chale,
     jinke pedon ki shaakhon pe hai ghosle
     ye parinde wahin laut kar jaayenge, aur so jaayenge
     hum hi hairan hain, in makaanon ke jungle mein
    apna koi bhi thikaana nahin
     shaam hone ko hai
     hum kahan jaayenge



5.   aaj maine apna fir sauda kiya
     aur fir main door se dekha kiya

     zindagi bhar mere kaam aayen oosool
     ek ek karke unhe becha kiya

     kuch kamin apni wafaaon mein bhi thi
     tum se kya kehte ki tumne kya kiya

     ho gayi thi dil ko kuch ummeed si
     khair tumne jo kiya achcha kiya.



6.   kyoon daren zindagi mein kya hoga
     kuch na hoga tho tazurba hoga

     haNsti aankhon mein jhaank kar dekho
     koi aaNsoo kahin chupa hoga
    
     in dinon na ummeed sa hoon main
    shaayad usne bhi ye suna hoga

     dekhkar tumko sochta hoon main
    kya kisi ne tumhen chua hoga



7.   pyaas ki kaise laaye taab koi
     nahin dariya tho ho saraab koi

     raat bazthi thi dooor shehnaaee
     roya peekar bahut sharaab koi

     kaun sa zakhm kisne baksha hai
     uska rakhe koi hisaab koi

     fir main sunane laga hoon is dil ki
     aane waala hai fir ajaab koi


8.   ik pal ghamon ka dariya, ik pal khushi ka dariya
     rukta nahin kabhi bhi, ye zindagi ka dariya

     aankhen thi wo kisi ki, ya khwaab ke zanzeeren
    awaaz thi kisi ki ya raagini ka dariya

     is dil ki waadiyon mein ab khaak ud rahi hai
h     behta yahin tha pehle ek aasgiqui ka dariya

     kirene mein hai ye lehren ya lehron mein hai kirene
     dariya ki chandni hai yaa chandni ka dariya




9.    tum baithe ho lekin jaate dekh raha hoon
     main tanhaayi ke din aate dekh raha hoon

      aane waaale lamhe se dil sehma hai
      tumko bhi darte ghabraate dekh raha hoon
      kab yaadon ka zakhm bhare kab daag mite
      kitne din lagte hain bhulaate dekh raha hoon
      uski aankhon mein bhi kaajal faila hai
      main bhi mudke jaate jaate dekh raha hoon

      Lyrics : Javed Akhtar
      Music  : Jagjit Singh
              

No comments: