Tuesday, December 30, 2008

Someone Somewhere 1990

Lyrics : Fayyaz Ahmed Fayyaz and Fana Nizami (1)
Muzaffar Warsi (2 and 3)
Shamim Karhani (4)
Sudarshan Faakir (5 and 6)
Fana Nizami (7)
Ayaz Jhansvi (8)


Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh




Introduction



We dedicate this ablum to the ever loving memories of our
only son Vivek, who left us forever, at the age of 18, on
the 28th of July 1990.

When Vivek was born, he filled our lives with joy and
music. Baboo, as we fondly called him, gave us all the
success that we have had eversince he came into our lives.

Baboo, right from his infancy, had a tremendous talent for
music. His passion was for rhythm and currently he used to
play the drums beautifully.

Baboo has always influenced our music with his astute and
invaluable suggestions and constructive criticism. We were
half way through recording these songs for a double ablum,
when Baboo left us so suddenly. These are a few of the
songs we had managed to complete earlier. We don't know if
these would have met with his approval.

-Jagjit Singh Chitra Singh




1. din guzar gaya, ai'thbaar mein
raat kat gayi intezaar mein

wo maza kahan basle yaat mein
lutf jo milaa intezaar mein

unki ik nazar kaam kar gayi
hosh ab kahan hoshiyar mein

mere kabze mein aaina to hai
main hoon aapke ikhtiyaar mein

aankh to uthi phool ki taranf
dil ulazh gaya husn-haar mein

tumse kya kahen, kitne gham sahen
hamne be-wafa tere pyaar mein

fikr-e-aashiyaan har khizaam ki
aashiyaan jalaa har bahaar mein

kis tarah ye gham bhool jaaye hum
wo juda hua ishtihaar mein




2. meri zindagi kisi aur ki, mere naam ka koi aur hai
mera naqsh hai sar-e-aayina, pase aayina koi aur hai

meri dhadkanon mein hai chaapsi, ye judayi bhi hai milaapsi
muJhe kya patha, mere dil batha, mere saath kya koi aur hai

na gaye dino ko khabar meri, na shareeke haal nazar teri
tere desh mein, mere bhesh mein, koi aur tha, koi aur hai

wo meri tarafn nigraan rahe, mera dhyaan jaane kahan rahe
meri aankh mein kai sooraten, mujhe chaahta koi aur hai




3. ab ke barsaat ki ruth aur bhi bhadkili hai
jishm se aag nikalti hai, kaban gili hai

sonchta hoon ke ab anjaam-e-safar kya hoga
log bhi kaanch ke hain, raah bhi pathrili hai

pehle rag-rag se meri khoon nichoda us'sne
ab ye kehtha hai ke rangat hi meri peelee hai

muJhko be-rang hi na karde kahin rang itne
sabz mausam hai, hawa surkh, fizaan gili hai





4. faasila to hai magar, koi faasila nahin
mujhse tum juda sahi, dil se to juda nahin

aasmaan ki fiqr kya, aasmaan khafaa sahi
aap ye bataaye'e aap to khafa nahin

kashtiyaan nahin to kya, hausle to paas hain
keh do na-khudaaon se, tum koi khuda nahin

lijiye bula liya, aapko khayaalon mein
ab to dekhiye hamen, koi dekhta nahin

aaeeye charaag-e-dil, aaj hi jalaayen hum
kaisi kal hawa chali, koi jaanta nahin



5. aadmi aadmi ko kya degaa
jo bhi dega wohi khuda dega

mera qaatil hi mera munsib hai
kya mere haq mein faisla dega

zindagi ko kareeb se dekho
iska chehra tumhe rulaa dega

hamse pucho dosthi ka silaa
dushmanon ka bhi dil hilaa dega

ishq ka zehar pee liya 'faakir'
ab maseeha bhi kya dawa dega



6. mere dukh ki koi dawa na karo
mujhko mujhse abhi juda na karo

na-khuda ko khuda kaha hai to fir
doob jaao khuda-khuda na karo

ye siKhaya hai dosthi ne hame
dosth bankar kabhi wafa na karo

ishq hai ishq ye mazaq nahin
chand lamhon mein faishlaa na karo

aashiqi ho ke bandagi 'Faakir'
be-dili se to ye fida na karo




7. koi samjhega kya raz-e-gulshan
jab taq ulJhe na kaanton se daaman

yaq-ba-yaq saamne aana jaana
ruk na jaaye kahin dil ki dhadkan

gul to gul-zaar taq chun liye hain
fir bhi khaali hai khurchi ka daaman

kitni aara'ishyen aashiyaana
toot jaaye na nasha fir nashe mein

hashmaten aashiyaana bana di
barf ko dost samjhoon ke dushman




8. dekha to mera saaya bhi mujhse juda mila
socha to har kisi se mera sil-sila mila

sehar-e-wafa mein ab kise ehl'-e-wafa kahen
humse gale mila to wo hi be-wafa mila

furshat kise thi jo meri haalaat poochchta
har shakhs apne baare mein kuch sonchtha mila

ussne to khair apno se moda that mooh haya
maine ye kya kiya ke main gairon se jaa mila

Memorable Ghazals of Jagjit and Chitra

Lyrics : kafeel Aazer (1)
Ameer Meenai (2)
Sudarshan Faaqir (3)
Qateel Shifai (4, 6, 7, 8, 9 and 11)
Saeed Rahi (5, 12 and 14)
Rais Akhtar (10)
Bashir Badr (13)
Salam Machhli Shehri (15)
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh




1. baat nikalegi to phir duur talak jaayegi
log bewajah udaasi kaa sabab poochhenge
ye bhi poochhenge ke tum itni pareshaan kyoon ho
ungliyaan uthengee sookhe huye baalon kee taraf
ek nazar dekhenge guzre huye saalon kee taraf
choodiyon par bhi kai tanz kiye jaayenge
kaanpate haathon pe bhi fikre kase jaayenge

log zaalim hain har ek baat kaa taanaa denge
baaton baaton mein mera zikr bhi le aayenge
unaki baaton ka zara sa bhi asar mat lena
varna chehre ke taasur se samajh jaayenge
chaahe kuchh bhi ho sawaalaat na karna unse
mere baare mein koi baat na karna unse
baat nikalegi to phir door talak jaayegi




2. sarakti jaaye hain rukh se naqaab aahista-aahista
nikalta aa raha hai aaftaab aahista-aahista

jawan hone lage jab wo to humse kar liya parda
hayaa yakalakht aaee aur shabaab aahista-aahista

sab-e-furkat ka jaaga hoon paristhon ab to sone do
kabhi fursat mein kar lena hisaab aahistaa-aahista

hamaare aur tumhaare pyaar mein bas farq hai itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar aahista-aahista

badi bedardi se sar kaate 'ameer' aur main kahoon unse
huzur aahista aahista janaab aahista-aahista



3. gham badhe aate hain qaatil kee nigahon ki tarah
tum chupa lo muJhe ae dosth gunahon ki tarah

apni nazron mein gunehgaar na hote kyoon kar
dil hi dushman hai mukhalif ke gawahon ki tarah

har taraf zeest ki raahon mein kadi dhoop hai dosth
bas teri yaad ke saaye hain panahon ki tarah

jinki khaatir kabhi ilzaam uthaye 'faakir'
wo bhi pesh aaye hain insaaf ke shaahon ki tarah



4. pareshaan raat saari hain sitaron tum to so jaao
sukut-e-marg taari hai sitron tum to so jaao

tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya
ye baazi humne haari hai sitaron tum to so jaao

kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se
ye kaisi raazdaari hai sitaron tum to so jaao



5. dost ban-banke mile mujhko mitaane waale
maine dekhe hain kai rang badalane waale

tumne chup rehkar sitam aur bhi dhaayaa mujhpar
tumse achchhe hain mere haal pe hansne waale

main to ikhalaq ke hathon hi bika kartaa hoon
aur honge tere baazar mein bikne waale

akhree daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo
phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronewaale




6. dil ko gham-e-hayaat ganwaara hai in dino
pehle jo dard tha wahi chaara hai in dino

ye dil zara sa dil teri yaadon mein kho gaya
zarre ko aandhiyon ka sahara hai in dino

tum aa sako to shab ko badha doon kuch aur bhi
apne kahe mein subho ka taara hai in dino



7. apne haathon ki lakiron mein basa le mujhko
main hoon tera to naseeb apna bana le mujhko

muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani
ye teri sadaa-dili maar na daale mujhko

khud ko main baant na daaloon kahin daaman-daaman
kar diya tune agar mere hawaale mujhko

bada fir bada hai main zehar bhi pee jaaoon 'qatil'
shart ye hai koi baahon mein sambhale mujhko



8. angdai par angdai leti hai raat judaee ki
tum kya samjho tum kya jaano baat meri tanhaayi ki

kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya mein
maine aankh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee ki

wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par
waqt se pehle dhoon gaye taaron ne badi daanaee ki

udte udte aas ka panchi door ufaq mein doob gaya
rote rote baith gayi awaaz kisi saudayi ki



9. sadma hai muJhe bhi ke tujhse juda hoon main
lekin ye sochta hoon ke ab tera kya hoon main

bikhraa pada hai tere hi ghar mein tera wajood
bekaar mehfilon mein tujhe dhoondta hoon main

na jaane kis adaa se liya toone mera naam
duniya samaJh rahee hai ke sab kuch tera hoon main

le mere tajurbon se sabak ae mere raqeeb
do chaar saal umr mein tujhse bada hoon main




10. humko dushman ki nigahon se na dekha keeje
pyaar hi pyaar hain hum humpe bharosa keeje

chand yaadon ke siwa haath na kuch aayega
is tarah umr-e-gureza ka na peecha keeje

roshni auron ke aangan mein gawara nai
kam se kam apne ghar mein to ujaala keeje

kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye
roz palkon pe nayi shamme jalaya keeje



11. pareshaan raat saari hain sitaron tum to so jaao
sukut-e-marg taari hai sitron tum to so jaao

hume to aaj ki shab pau fate tak jaagna hoga
yahi kismat hamari hai sitron tum to so jaao

hume bhi neend aa jaayegi hum bhi so hi jaayenge
abhi kuch beqaraari hai sitaron tum to so jaao

tumhe kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya
ye baazi humne haari hai sitaron tum to so jaao

kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se
ye kaisi raazdaari hai sitaron tum to so jaao




12. aankh se aankh milaa, baat banaata kyoon hai
tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyoon hai

gair lagta hai hai na apno ki tarah miltaa hai
tu zamaane ki tarah mujhko sataata kyoon hai

waqt ke saath haalaat badal jaate hain
ye haqeeqat hai magar mujhko sunaata kyoon hai

ek muddat se jahan kaafile gujre hi nahin
aisi raahon pe charaagon ko jalaata kyoon hai




13. socha nahin achcha bura dekha suna kuch bhi nahin
maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahin

dekha tujhe socha tujhe chaaha tujhe pooja tujhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahin

jispar hamari aankh ne moti bichchaaye raat bhar
bheja wohi kaagaz tujhe humne likha kuch bhi nahin

ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq
aankhon se ki baaten bahot humne kaha kuch bhi nahin




14. paseene paseene huye jaa rahe ho
ye bolo kahan se chale aa rahe ho

hamen sabr karne ko keh to rahe ho
magar dekh lo khud hi ghabraa rahe ho

ye kiskee buri tumko nazar lag gayee hai
baharon ke mausam mein murjha rahe ho

ye aaina hai ye to sach hi kahega
kyon apni haqeeqat se katra rahe ho



15. bahut dinon ki baat hai
fizaa ko yaad bhi nahin
ye baat aaj ki nahin
bahut dinon ki baat hai

shabaab par bahaar thee
fizaa bhi khush-gawaar thee
naa jaane kyoon machal pada
mai apne ghar se chal pada
kisi ne mujhko rok'kar
badi adaa se tok'kar
kaha tha laut aae'iye
meri kasam naa jaai'eye

par muJhe khabar na thi
maahol par nazar na thi
naa jaane kyoon machal pada
main apne ghar se chal pada
main shehar se phir aa gaya
khayal thaa ke paa gaya
us'e jo muJhse door thi
magar meri zaroor thi

aur ik hasin shaam ko
main chal pada salaam ko
gali ka rang dekh'kar
nayi tarang dekh'kar
mujhe badi khushi huyi
main kuch isi khushi mein tha
kisi ne jhaank'kar kaha
paraaye ghar se jaai'iye
meri kasma na aai'iye

wahi haseen shaam hai
bahaar jiska naam hai
chala hoon ghar ko chodkar
na jaane jaaoonga kidhar
koi nahin jo tok'kar
koi nahin jo rok'kar
kahe ke laut aai'iye
meri kasam na jaai'iye

meri kasam naa jaai'iye ......