Monday, December 29, 2008

Ghazals from Films

Lyrics : kaifi Aazmi (1,3,5,14)
Iftikhar Imam Siddiqi (2)
Javed Akhtar (4,6,7,8,12)
Madanpal (9,10)
Sudarshan Faakir (11,13)

Movies : Arth (1,2,3,5)
Saath Saath (4,6,7,8,12)
Ashiana (9)
Aaj (10,11,13)
Bhavna (14)

Music : Jagjit Singh - Arth
Kuldeep Singh - Saath Saath
Jagjit and Chitra - Ashiana, Aaj
Bappi Lahiri - Bhavna

Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh


1. tum itna jo muskura rahe ho
kya gham hai jisko chhupaa rahe ho

aankhon mein namee hansi labon par
kya haal hai kya dikhaa rahe ho

ban jaayenge zaher peete peete
ye ashq jo peete rahe ho

jn zakhmon ko waqt bhar chala hai
tum kyoon unhe chede jaa rahe ho

rekhaaon ka khel hai muqqaddar
rekhaaon se maat kha rahe ho



2. too nahin to zindagi mein aur kya reh jaayega
door tak tanhaaeeyon ka silsila reh jaayega

dard ki saari tahe aur saare guzre haadse
sab dhooan ho jaayenge ik faakeya reh jaayega

yun bhi hoga wo muJhe dil se bhula dega magar
ye bhi hoga khud usee mein ik khala reh jaayega

daayre inkaar ke iqraar kee sargoshiyaan
ye agar tootne kabhi to faaslaa reh jaayega



3. koi ye kaise bataaye ke wo tanha kyoon hai
wo jo apna thaa wahi aur kisi ka kyoon hai
yahi duniya hai to phir aisee ye duniya kyoon hai
yahi hota hai to aakhir yahi hota kyoon hai

ik zara haath badha den to pakad le daaman
uske seene mein sama jaaye hamari dhadkan
itni kurbat hai to phir faaslaa itna kyoon hai

dil-e-barbaad se nikla nahin ab tak koi
ik loote ghar pe diya karta hai dastak koi
aas jo toot gayi phir se bandhaata kyoon hai

tum asarrat ka kaho ya ise gham ka rishta
kehte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta to badalta kyoon hai



4. kyoon zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne huye kareeb ke hum door ho gaye

aisa naheen ke humko koi bhi khushi nahin
lekin ye zindagi to koi zindagi nahin
kyoon iske faisle hamen manzoor ho gaye

paaya tumhe to humko laga tumko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil humpe ro diya
palkon se khwaab kyoon gire kyoon choor ho gaye



5. jhuki jhuki si nazar beqaraar hai ke nahin
daba daba sa sahi dil mein pyaar hai ke nahin

tu apne dil ki jawaan dhadkanon ko gin ke bata
meri tarah tera dil beqaraar hai ke nahin

wo pal ke jis mein mohabbat jawaan hoti hai
us ek pal ka tuJhe intezaar hai ke nahin

teri ummeed pe thukraa raha hoon duniya ko
tuJhe bhee apne pe ye aitbaar hai ke nahin



6. tum ko dekha to ye khayaal aaya
zindagi dhoop tum ghana chaaya

aaj phir dil ne ik tamanna ki
aaj phir dil ko humne samjhaaya

tum chale jaaoge to sochenge
humne kya khoya humne kya paaya

hum jise gunguna nahin sakte
waqt ne aisa geet kyoon gaaya



7. pyar mujh se jo kiyaa tumne to kya paaogi
mere haalaat ki aandhi mein bikhar jaaogi

ranj aur dard ki basthi ka main baashinda hoon
ye to bas main hoon ke is haal mein bhi zinda hoon
khwaab kyoon dekhoon wo kal jispe main sahrminda hoon
main jo sharminda hoon to aur tum bhi sharmaaogi

kyoon mere saath koi aur pareshaan rahe
meri duniya hai jo veeraan to veeraan rahe
zindagi ka ye safar tum pe to aasaan rahe
humsafar mujhko banaaogi to pachtaaogi

ek main kya abhi aayenge deewaane kitne
abhi goonjenge mohabbat ke taraane kitne
zindagi tumko sunaaegi fasaane kitne
kyoon samajhti ho mujhe bhool nahi paaogi



8. ye bata de mujhe zindagi
pyaar ki raah ke humsafar
kis tarah ban gaye ajnabee

ye bata de mujhe zindagi
phool kyoon saare murjhaa gaye
kis liye bujh gayee chandini

kal jo baahon mein thi
aur nigaahon mein thi
ab wo garmi kahaan kho gayi

na wo andaaz hai
na wo awaaz hai
ab wo narmi kahaan kho gayi

bewafa tum nahin
bewafa hum nahin
fir wo jazbaat kyoon so gaye

pyaar tumko bhi hai
pyaar humko bhi hai
faasle phir ye kyoon ho gaye

ye bata de muJhe zindagi



9. humsafar banke hum saath hain aaj bhi
fir bhi hai ye safar ajnabi ajnabi
raah bhi ajnabi mod bhi ajnabi
jaayen hum kidhar ajnabi ajnabi

zindagi ho gayee hai sulagta safar
door tak aa raha hai dhuaan sa nazar
jaane kis mod par kho gayi har khushi
deke dard-e-jigar ajnabi janabi

humne chun chun ke tinke banaaya tha jo
aashiyaan hasraton se sajaaya tha jo
hai chaman mein wahi aashiyaan aaj bhi
lag raha hai magar ajnabi ajnabi

kisko maaloom tha din ye bhi aayenge
mausamon ki tarah dil badal jaayenge
din hua ajnabi raat bhi ajnabi
har ghadi har pahar ajnabi ajnabi



10. rishtaa ye kaisa hai naata ye kaisa hai
pehchaan jisse nahin thee kabhi
apna bana hain wahi ajnabi
rishtaa ye kaisa hai naata ye kaisa hai

tumhe dekhte hi rahoon main hamesha
mere saamne yoon hee baithe raho tum
karoon dil ki baaten main khamoshiyon se
aur apne labon se na kuch bhi kaho tum

ye rishta hai kaisa, ye naata hai kaisa
tere tan ki khushboo bhi lagti hai apni
ye kaisi lagan hai ye kaisa milan hai
tere dil ki dhadkan bhi lagti hai apni

tumhe paake mehsoos hota hai aise
ke jaise kabhi hum judaa hee nahin the
ye maana ke jismon ke ghar to naye hain
magar hai puraane ye bandhan dilon ke



11. phir aaj mujhe tumko bas itna bataana hai
hasna hi jeewan hai haste hi jaana hai

madhuban ho ya gulshan ho patjhad ho ya saawan ho
har haal mein insaan ka ik phool sa jeewan ho
kaanton mein ulajh ke bhi khushboo hi lutaana hai
hasna hi jeewan hai haste hi jaana hai

har pal jo guzar jaaye daaman ko to bhar jaaye
ye soch ke jee lein tho takdeer sawar jaaye
is umr ki raahon se khushiyon ko churaana hai
hasna hi jeewan hai haste hee jaana hai

sab dard mita de hum, har gham ko saza de hum
kehte hai jise jeena duniya ko sikha de hum
ye aaj to apna hai kal bhi apnaana hai
hasna hi jeewan hai haste hee jaana hai



12. ye tera ghar ye mera ghar kisi ko dekhna ho gar
to pehle aake maang le meri nazar teri nazar
ye tera ghar ye mera ghar ye ghar bahut haseen hai
ye ghar bahut haseen hai ye ghar bahut haseen hai

na baadlon ke chaaon mein naa chandni ke gaaon mein
na phool jaise raaste bane hain iske waaste
magar ye ghar ajeeb hai zameen ke kareeb hai
ye eet-pattharon ka ghar hamaari hasraton ka ghar

jo chaandni nahin to kya ye roshni hai pyaar ki
dilon ke phool khil gaye to fikr kya bahaar ki
hamaare ghar na aayegi kabhi khushi udhaar ki
hamaari raahaton ka ghar hamaari chaahaton ka ghar

yahan mahak wafaaon ki mohabbaton ka rang hai
ye ghar tumhara khwaab hai ye ghar meri umang hai
na aarzoo pe qaid hai na hausle pe jung hai
humare hauslon ka ghar hamaari himmaton ka ghar



13. ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo
bhale chheen lo muJhse meri jawaani
magar mujhko lauta do bachchpan ka saawan
wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani

mohalle ki sabse nishaani purani
wo budhiya jise bachche kehte the naani
wo naani ki baaton mein pariyon ka dera
wo chehre ke jhuriyon mein sadiyon ka phera
bhulaaye nahin bhool saqta hai koi
wo choti see raaten wo lambi kahaani

kadi dhoop mein apne ghar se nikalna
wo chidiya wo bulbul wo thithli pakadna
wo gudiya ki shaadi pe ladna jhagadna
wo jhoolon se girna, wo gir ke sambhalna
wo pithal ke challon ke pyaare se tho'fe
wo tooti hui chudiyon ki nishaani

kabhi re't ke oonche tilon pe jaana
gharonde banana, banaake mitaana
wo maasoom chaahat ki tasveer apni
wo khwabon khilono ki taabir jaageer apni
na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
badi khoobsoorat thi wo zindgaani




14. mere dil mein tu hi tu hai dil ki dawa kya karun
dil bhee tu hai jaan bhi tu hai tujhpe fidaa kya karun

khud ko khoke tujhko paakar kya kya mila kya kahun
teri hoke jeene mein kya aaya maza kya kahun

kaise din hain kaisee raaten kaisi fizaa kya kahun
meri hoke tune mujhko kya kya diyaa kya kahun

meri pehloo mein jab tu hai phir main dua kya karun
dil bhi tu hai jaan bhi tu hai tujhpe fidaa kya karun

hai ye duniya dil ki duniya milke rahenge yahaan
lootenge hum khushiyaan har pal dukh na sahenge yahaan

armaano ke chanchal dhaare aise bahenge yahaan
ye to sapno ki jannat hai sab hi kahenge yahan

ye duniya mere dil mein basi hai dil se juda kya karun
dil bhi tu hai jaan bhi tu hai tujhpe fidaa kya karun

Passion / Black Magic 1988

Lyrics : Sudarshan Faakir (1, 2 and 8)
Prem Varbatni (3)
Seemab Akbrabadi (4)
Bekhud (5)
Rana Sahri (6)
Wajida Tabassum (7)

Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh


1. patthar ke khuda, pathar ke sanam
patthar ke hi insaan paayen hain
tum sehre-e-mohabbat kehte ho
hum jaan bachcha-kar aayen hain

but-khaana samajhte ho jisko
puchcho na wahan kya haalat hai
hum log wahin se launte hain
bas shukr karo lautn aaye hain

hum soch rahen hain muddat se
ab umr guzaaren bhi to kahan
sehra mein khushi ke phool nahin
shehron mein gamon ke saaye hain

hothon pe tabassum halqa sa
aankhon mein nami si a'e faaqir
hum aehle-e-mohabbat par aksar
aise bhi zamaane aaye hain




2. jab bhi tanhaayee se ghabraake simat jaate hain
Hum teri yaad ke daaman se lipat jaate hain

unpe toofan ko bhi afsos hua karta hai
wo safine jo kinaron pe ulat jaate hain

hum to aaye the' rahen saakh mein phoolon ki tarah
tum agar haar samajhte ho to hat jaate hain



3. jawaani ke heele, haya ke bahaane
ye maana ke tum mujhse parda karogi
ye duniyan magar tujhsee bholi nahin hai
chhupaake mohabbat ko ruswa karogi

badi koshishon se, badi khwaahishon se
tamanna ke sehmi hui saajishon se
milega jo mauka to be-chain hokar
darichon se tum mujhko dekha karogi

sataayegi jab chaandni ki udaasi
dukhaayegi dil jab fizaa ki khamoshi
ufaq ki tarah khaali nazaren jamaakar
kabhi jo na socha wo socha karogi

kabhi dil ki dhadkan mehsoos hogi
kabhi thandi saason ki toofnaan uthegi
kabhi gir ke bishtar pe aahen bharogi
kabhi jhuk ke takiye pe roya karogi



4. ye kya jaane mein jaana hai, jaate ho khafaa hokar
main jab jaanoon, mere dil se chale-jaao juda hokar

qayaamat taak udegi dil se uthkar khaaq aankhon taq
isee raste gaya hai hasraton ka kaafila hokar

tumhi ab dard-e-dil ke naan se ghabraaye jaate ho
tumHi to dil mein shaayad aaye the' dard-e-aashiyan hokar

yoonhi hamdam ghadi bhar ko mila karte tho behtar tha
ke dono waqt jaise roz milte hain juda hokar




5. main pilaakar aapka kya jaayega
jaayega eemaan jiska jaayega

dekhkar mujhko wo sharmaa jaayega
ye tamaasha kis-se dekha jaayega

jaaoon buth-khaane se kyoon kaabe ko main
haath se ye bhi thikaana jaayega

qatl ki jab usne di dhamki mujhe
keh diya maine bhi dekha jaayega

pee bhi le do ghoont zaahid pee bhi le
maiqade se kaun pyaasa jaayega





6. hai ikhtiyaar mein tere to mauj sa kar de
wo shakhs mera nahin hai usse mera kar de

mere khizan kahin kahtm hi nahin hota
zara see door ro rasta hara bhara kar de

main uske shor ko dekhoon wo mera sab ....
muJhe charag bana de usse hawa kar de

akeli shaam bahut hi udaas karti hai
kisiko bhej, koi mera hum-nawa kar de



7. ye bhi kya ehsaan kam hai dekhiye na aap ka
ho raha hai har taraf charcha humara aap ka

chaand mein to daag hai par aape mein wo bhi nahin
chaudhwi ke chaand se badhke hai chechra aap ka

ishq mein aise bhi hum doobe huye hain aap-ke
apne chechRe pe sada hota hai dhoKha aap ka

chaand-suraj, dhoop-subahah, keh-kasha taare-shama
har ujaale ne churaaya hai uJaala aap ka



8. agar hum kahen aur wo mushkura dein
hum unke liye zindgaani luta dein

har ik mod par hum gamon ko sazaa dein
chalo zindagi ko mohabbat bana dein

agar khud ko bhoole to kuch bhi na bhoole
ke chaahat mein unkee khuda ko bhula dein

kabhi gam kee aandhi jinhen choo na paaye
wafa ke hum wo nashe-man bana dein

qayaamat ke deewaane kehte hain humse
chalo unke chehre se parda hata dein

saza de silaa de, bana de mitaa de
magar wo koi fiaslaa to sunaa de