Sunday, January 4, 2009

Visions

 Lyrics : Kaif bhupali (1)
  Tasneem faaruqi (2)
  Rakesh (3)
  Aarzoo Lakhnawi (4)
  Nida Fazli (5)
  Rustam sehgal wafa (6,10)
  Bekhud Dehlvi (7, 8)
  Bashir Badr (9,15)
  Aziz Qaisi (11) 
  Rana sahri (12)
  Zahid (13)
  Wazida Tabassum (14)
  Khalid kuwaiti (16)

  Music : Jagjit Singh 

  Voices : Jagjit Singh

Volume I 

1. Jhoom ke jab rindo ne pilaa di
  sheikh ne chupke chupke dua di

  ek kami thi taj mahal mein
  humne teri tasveer laga di

  aapne jhoota waada karke
  aaj hamaii umr badha di

  teri gali mein sazde karke
  humne ibaadat-gaah bana di




2. nazar nazar se milakar sharaab peete hain
  hum unko paas bithakar sharaab peete hain

  isi liye to andhera hai maikade mein bahut
  yahan gharon ko jalaakar sharaab peete hain

  hume tumhare siwa kuch nazar nahin aata
  tumhe nazar mein sazakar sharaab peete hain

  unhi ke his'se mein aati hai pyaas hi aksar
  jo doosron ko pilaakar sharaab peete hain



3. ye peene waale bahut hi ajeeb hote hain
  jahan se door ye khud ke kareeb hote hain

  kisi ko pyaar mile aur kisi ko ruswaayee
  mohabbaton ke safar bhi ajeeb hote hain

  mila kisi ko hai kya sochiye ameeree se
  diloN ke shaah to aksar gareeb hote hain
 
  yahan ke logon ki hai khaasiyat ye sabse badi
  habeeb lagte hain lekin raqeeb hote hain




4. kisne bheege huye baalon se ye jhatka paani
  jhoom ke aayi ghata toot ke barsa paani

  koi matwaali ghata peeke jawaani ki umang
  jee baha le gaya barsaat ka pehla paani

  tiktiki baandhe wo firte hain main is fidr mein hoon
  kahin khaane lage chakkar na ye gehra paani

  baat karne mein wo un aankhon se amrit tapka
  aarzoo dekhte hi mooh mein bhar aaya paani
 



5. kabhi kabhi yun bhi humne apne jee ko behlaaya hai
  jin baaton ko khud nahin samjhe auron ko samjhaaya hai

  humse poocho izzatwaalon kee izzat ka haal yahan
  humne bhi is shehar mein rehkar thoda naam kamaya hai

  us'se bichchde barson beete lekin aaj na jaane kyoon
  aangan mein haste bachchon ko bekaaron dhamkaaya hai

  koi mila tho haath milaaya kahin gaye to baate ki
  ghar se baahar jab bhi nikle din bhar bojh uthaya hai



6. tere nisaar saqiya jitni piyoo pilaaye jaa
  mast nazar ka waasta mast mujhe banaye jaa

  tujhko kisi se marz kya bijli kahin giraye jaa
  dil jale ya zigar jale tu yun hi mushkuraye jaa

  saamne mere aa ke dekh rookh se naqaab hata ke dekh
  khilman-e-dil hai muntazir barke nazar giraaye jaa
   
  wafa-e-badnaseeb ko baksha hai tune dard jo
  hai koi iski bhi dawa itna zara bataaye jaa



7. na keh saaqi bahaar aane ke din hain
  zigar ke daag chil jaane ke din hain
  
  ada see khoob adaa aane ke din hain
  abHi to door sharmaane ke din hain

  garebaan dhoondte hain haath mere
  chaman mein phool khil jaane ke din hain

  tumhe raaz-e-mohabbat kya bataayen
  tumhare khelne khaane ke din hain

  ghataayen oondi oondi keh rahi hai
  maye angoor khichwaane ke din hain



8. dard-e-dil mein kamee na ho jaaye
  dosthi dushmani na ho jaaye

  tum meri dosthi ka dam na bharo
  aasmaan muddayee na ho jaaye

  baithata hoon hamesha rindon mein
  kahin zaahid wali na ho jaaye

  apne khooye wafa se darta hoon
  aashiqi bandagi na ho jaaye



  Volume II 



9. kaun aaya raaste aa'ina khaana ho gaye
  raat roshan ho gayi din bhi suhaane ho gaye

  ye bhi mumkin hai ke us'ne mujhko pehchana na ho
  ab us'e dekhe huye kitne jamaane ho gaye
 
  jaao un kamron ke aa'ine uthakar phenk do
  wae agar ye keh rahen ho hum puraane ho gaye

  meri palkon par ye aansoo pyaar ki tauheen hai
  unki aankhon se gire moti ke daane ho gaye



10. aap aaye janaab barson mein
  humne pee hai sharaab barson mein

  phir se dil ki kali khili apni
  phir se dekha sabaab barson mein

  tum kahan the' kahan rahe saahib
  aaj hoga hisaab barson mein

  pehle naadaan the' ab huye daana
  unko aaya adaab barson mein

  isi um'meed pe' main zinda hoon
  kya wo denge jawaab barson mein




11. aapko dekhkar dekhta reh gaya
  kya kahoon aur kehne ko kya reh gaya

  unkee aankhon mein kaise chalakne laga
  mere honthon pe jo maajra reh gaya

  aise bichde sabhi raah ke mod par
  aakhri hum-safar raasta reh gaya

  soch kar aao kuye tamanna hai ye
  jaaneman jo yahan reh gaya reh gaya

  


12. koi dosth hai na raqeeb hai
  tera sehar kitnaa ajeeb hai

  wo jo ishq thaa wo junoon thaa
  ye jo hizr hai ye naseeb hai

  yahan kiska chehra padha karoon
  yahan kaun itnaa kareeb hai

  maiN kise kahoon mere saath chal
  yahan sab ke sar pe saleeb hai



13. fir se mausam baharon ka aane ko hai
  fir se rangin zamana badal jaayega
  abki bazme charaagon saja lenge hum
  ye bhi armaan dil ka nikal jaayega

  aap karde jo mujhko nigaahe karam 
  meri ulfat ka reh jaayega kuch bharam
  yun fasana to mera rahega yahi
  sirf unwaan uska badal jaayega

  fiki fiki si kyoon shaam-e-maikhanaa hai
  lutf saaqi bhi kam khaali paimaana hai
  apnee nazron se hi kuch pila de jiye 
  rang mehfil ka khud hi badal jaayega

  mere mitne ka unko zara gam nahin
  julf bhi unki ae dosth war ham nahin
  apne hone na hone se hotha hai kya
  kaam duniya ka yun hee to chal jaayega

  aapne dil jo 'zaahid' ka toda to kya
  aapne uski duniya ko choda to kya
  aap itne to aakHir pareshaan na hon
  wo sambhalte sambhalte sambhal jaayega
 
   



14. kuchh na kuchh to zaroor hona hai
  saamna aaj unsay hona hai 

  todo fainko rakho karo kuch bhi
  dil hamara hai kya khilona hai 

  zindagi aur maut ka matlab
  tumko paana hai tumko khona hai 

  ttna darna bhi kya hai duniya say
  jo bhi hona hai woh to hona hai 

  uth ke mehfil se mat chale jaana
  tumse roshan yeh kona kona hai 





15. sar jhukaaoge to patthar dewta ho jaayega
  itna math chaaho use' wo bewafa ho jaayega

  hum bhi dariya hain hamen apna hunar maaloom hai
  jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega

  main khuda ka naam lekar pee raha hoon doston
  zehar bhi isme agar hoga dawa ho jaayega

  ruth jaana to mohabbat ki alamat hai magar
  kya khabar thi mujhse wo itna khafa ho jaayega



16. har gosha gulistan tha kal raat jahan main tha
  ek jasn-e-baharan tha kal raat jahan main tha

  nagmen the' hawaon mein jaadoo tha fizaaon mein
  har saans ghazalfaan tha kal raat jahan main tha

  dariya-e-mohabbat mein kasthi thi jawaani ki
  jazbaat ka toofaan tha kal raat jahan main tha

  mahtaab tha baahon mein jalwe the nigaahon mein
  har sint charaagan tha kal raat jahan main tha