Soz (Pathos)
1. tamanna fir machal jaaye agar tum milne aa jaao
ye mausam hi badal jaaye agar tum milne aa jaao
mujhe gham hai ke maine zindagi mein kuch nahin paaya
ye gham dil se nikal jaaye agar tum milne aa jaao
nahin milte ho mujhse tum to sab humdard hain mere
zamana mujhse jal jaaye agar tum milne aa jaao
ye duniya bhar ke jhagde ghar ke kisse kaam ki baaten
bala har ek tal jaaye agar tum milne aa jaao
2. aap bhi aayiye humko bhi bulaate rahiye
dosthi zurm nahin dosth banaate rahiye
zaher pee jaaiye aur baantiye amrit sabko
zakhm bhi khaaiye aur geet bhi gaate rahiye
waqt ne loot lee logon ki tammannayen bhi
khwaab jo dekhiye auron ko dikhaate rahiye
shakl tho aapke bhi zahen mein hogi koi
kabhi ban jaayegi tasveer banaate rahiye
3. ab agar aao tho jaane ke liye math aana
shirf ehsaan jataane ke liye math aana
meaine palkon pe tammannnayen saza rakhi hai
dil mein ummeed ki sau shammen jala rakhi hai
ye hasin shammen bujhane ke liye math aana
pyaar ki aag mein zanzeeren pighal sakti hai
chaahne waalon ki takdeeren badal sakti hai
tum ho bebas ye bataane ke liye math aana
ab tum aana jo tumhe mujhse mohabbat hai koi
muJhse milne ki agar tumko bhi chaahat hai koi
tum koi rasm nibhaane ke liye math aana
4. shaam hone ko hai
laal suraj samandar mein khone ko hai
aur uske pare kuch parinde kataare banaaye
unhi jungalon ko chale,
jinke pedon ki shaakhon pe hai ghosle
ye parinde wahin laut kar jaayenge, aur so jaayenge
hum hi hairan hain, in makaanon ke jungle mein
apna koi bhi thikaana nahin
shaam hone ko hai
hum kahan jaayenge
5. aaj maine apna fir sauda kiya
aur fir main door se dekha kiya
zindagi bhar mere kaam aayen oosool
ek ek karke unhe becha kiya
kuch kamin apni wafaaon mein bhi thi
tum se kya kehte ki tumne kya kiya
ho gayi thi dil ko kuch ummeed si
khair tumne jo kiya achcha kiya.
6. kyoon daren zindagi mein kya hoga
kuch na hoga tho tazurba hoga
haNsti aankhon mein jhaank kar dekho
koi aaNsoo kahin chupa hoga
in dinon na ummeed sa hoon main
shaayad usne bhi ye suna hoga
dekhkar tumko sochta hoon main
kya kisi ne tumhen chua hoga
7. pyaas ki kaise laaye taab koi
nahin dariya tho ho saraab koi
raat bazthi thi dooor shehnaaee
roya peekar bahut sharaab koi
kaun sa zakhm kisne baksha hai
uska rakhe koi hisaab koi
fir main sunane laga hoon is dil ki
aane waala hai fir ajaab koi
8. ik pal ghamon ka dariya, ik pal khushi ka dariya
rukta nahin kabhi bhi, ye zindagi ka dariya
aankhen thi wo kisi ki, ya khwaab ke zanzeeren
awaaz thi kisi ki ya raagini ka dariya
is dil ki waadiyon mein ab khaak ud rahi hai
h behta yahin tha pehle ek aasgiqui ka dariya
kirene mein hai ye lehren ya lehron mein hai kirene
dariya ki chandni hai yaa chandni ka dariya
9. tum baithe ho lekin jaate dekh raha hoon
main tanhaayi ke din aate dekh raha hoon
aane waaale lamhe se dil sehma hai
tumko bhi darte ghabraate dekh raha hoon
kab yaadon ka zakhm bhare kab daag mite
kitne din lagte hain bhulaate dekh raha hoon
uski aankhon mein bhi kaajal faila hai
main bhi mudke jaate jaate dekh raha hoon
Lyrics : Javed Akhtar
Music : Jagjit Singh
Thursday, June 17, 2010
Samvedna (Sensitivity)
Preface
Zindagi ki shor, rajnit ki apadhaati, rishton naataon ke
galiyon aur kya khoya kya paaya ke baazaaro se aage, soch
ke raaste par kahin ek aisa nukkad aata hai jahan pahunch
kar insaan ekaaki ho jaata hai. tab, jaag uththa hai ek
kavi. fir shabdon ke rangon se jeewan ki anokhi tasveeren
banti hain, kavitaayen aur geet, sapnon ki tarah aate hain
aur kaagaz par hamesha ke liye apna ghar bana lete hain.
Atal ji ki ye kavitaayen, aise hi pal, aise hi chaaon mein
likhi gayi hain, jab sunane waale aur sunaane waale mein,
tum aur main ki deewaaren toot jaati hai, duniya ki saari
dhadkane simat kar ek dil mein aa jaati hain, aur kavi ke
shabd duniya ke har samwelan sheel insaan ke shabd ban
jaate hain.
1. kya khoya kya paaya jag mein
milte aur bichhadte mag mein
mujhe kisi se nahin shikaayat
taddapi chhala gaya pag-pag mein
ek drishti biti par daale
yaadon ki potali tatole
prithwi laakhon varsh puraani
jeewan ek anant kahani
par tan ki apni seemaayen
taddapi sau shardon ki vaani
itna kaafi hai antim dastak
par khud darwaajaa khole
janm-maran ka avirat fera
jeevan banzaron ka dera
aaj yahaan kal kahan kuch hai
kaun jaanta kidhar savera
andhiyara aakaash aseemit
praanon ke pankhon ko taule
apne hi man mein kuch bole
ABV: emergency lagi thi, saara desh ek jail-khaane mein badal
diya gaya thaa. swatantrataon ka apharan hua thaa. badi
sankhya mein log giraftaar kiye gaye the, jailon mein
band kiye gaye the. jab ek saal beet gaya tho maine ek
choti si kavita likhi...
jhulsaata jeth maas
sharad chaandni udaas
siski bharte saawan ka
antarghat beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
2. ek baras beet gaya
jhulsaata jeth maas
sharad chaandni udaas
siski bharte saawan ka
antarghat beet gaya
ek baras beet gaya
seekachon mein simta jag
kintu vikal praan wihag
dharti se ambar tak
goonj mukti geet gaaya
ek baras beet gaya
path nihaarte nayan
ginte din, pal chhin
laut kabhi aayega
man ka jo meet gaya
ek baras beet gaya
ABV: jo kal tthe, wae aaj nahin hain
jo aaj hain, kal nahin honge
hone na hone ka kram isi tarah chalta rahega
hum hain, hum rahenge, ye bhram bhi sada palta rahega
satya kya hai?
hona ya na hona.
ya dono hi satya hai.
jo hai uska hona satya hai.
jo nahin hai, uska na hona satya hai.
mujhe lagta hai ke, hona na hona,
dono ek hi satya ke do ayaam hain
shesh sab samjah ka bhed, buddhi ke wyayaam hain
3. chauraahe par lutha cheer
pyaade se pit gaya vazeer
chaloon aakhri chaal ki baazi
chod wirakthi rachaaoon main
raah kaun si jaaoon main
sapna janmaa aur mar gaya
madhu ritu mein baag jhad gaya
tinke bikhre huye batoroon
ya nav shrishti sajaaoon main
raah kaun si jaaoon main
do din mile udhaar mein
ghaate ke vyaapaar mein
kshan-kshan ka hisaab jodoon main
yaa poonji shesh lutaaoon main
raah kaun si jaaooN main
ABV: maine bahut kam kavitaayen likhi hain waqt nahin milta,
lekin jab kabhi meri saal girah aati hai
tab, pichle kuch saalon se main har saal girah par ek kavita
likhtaa hoon.
jeewan ki dhalne lagi saanjh
umar ghat gayi dagar kat gayi
jeewan ki dhalne lagi saanjh
badlen hain arth
shabdh huye wyarth
shaant bina khushiyan hain baanjh
jeewan ki dhalne lagi saanjh
4. jeevan beet chala
kal , kal karte, aaj haath se nikale saare
bhoot bhavishyat ki chinta mein
wartmaan ki baazi haare
pehra koi kaam na aaya
rasghat reet chala
jeewan beet chala
haani-laabh ke paladon mein
tultaa jeewan vyapaar ho gaya
mol laga bikne waale ka
bina bika bekaar ho gaya
mujhe haat mein chhod akela
ek-ek kar meet chalaa
jeewan beet chala
ABV: emergeny ke dauraan, jab meri tabiyat kharaab huyi, tab
mujhe bangalore ke jail se all india medical institute
mein laaya gaya. chauthi ya paanchvi manzil par rakha
gaya thaa. kada pehra thaa. lekin, roz sawere meri aankh
achanak khul jaati thi. kaarn ye thaa ke rone ki awaaz aathi thi.
maine pata lagaane ka pryaas kiya, ye awaaz kahan se aa
rahi hai, kiski awaaz hai, tho mujhe bataya gaya ke
medical institute mein raat mein jin marizon ka dehant
ho jaata hai, ghar waalon ko unki laash sawere di
jaati hai. sawere, unhe ye jaankaari milti hai ke unka
priya jan nahi raha.
rone ki awwaz, mujhe wichlit kar gayi
door se awaaz aati thi magar hriday ko cheer kar chali jaati thi
5. door kahin koi rota hai
tan par pehra bhatak raha man
saathi hai kewal soonapan
bichud gaya kya swajan kisi ka
krandan sada karun hota hai
janm - diwas par hum ithlaate
kyon na maran tyohaar manaate
antim yaatra ke awsar par
aansoo ka ashkun hota hai
antar roye, aankh na roye
dhul jayenge swapna sanjaaye
chalna bhar wishwa mein
kewal sapna hi sach hota hai
is jeewan se mrityu bhali hai
aantkit jab gali-gali hai
main bhi rota aaspaas jab
koi kahin nahin hota hai
door kahin koi rota hai
ABV: emergency ke baad logon ne janata party par apna wishwaas
prakat kiya thaa. jay prakash ji humaare neta thhe. unke
nethritwa mein humne raj ghat par jaa kar shapath li thi,
ke hum milkar chalenge, milkar desh ka bhala karenge.
lekin aisa na hua. janata party toot gayi, bikhar gayi.
jay prakash ji ne apne aankhon ke aage janata party ka
durghatan dekha. gandhi ji ke kaaran rajghat par jay
prakash ji ke nethritwa mein jo shapath li gayi thi, uska
humne paalan nahin kiya. uska hamein afsos rahega. usi
samay maine ye kavita likhi thi jo meri peeda ko thodi
maatra mein wyakt karti hai.
kshama karo bapu, tum humko,
wachan bhang ki humne purani.
raj ghat ko kiya apawan,
manzil bhoole, yaatra aadhi.
jay prakash ji rakho bharosa,
toote sapnon ko jodenge.
chitha bhasm ki chingaari se,
andhkaar ki gadh todenge.
6. kadam milakar chalna hoga,
baadhaayen aati hain aayen,
ghire pRalay ki ghor ghataayen,
paawon ke neeche angaaren,
sir par barse yadi jwaalaayen,
nij haath se hanste-hanste,
aag laga kar jalna hoga.
kadam milakar chalna hoga.
haasya-rudaya mein, toofaanon mein,
amar asankhyak balidaanon mein,
uddhaanon mein veeraanon mein,
apmaanon mein, sammanonn mein,
unnat mastak, ubhara seena,
peedaaon mein palna hoga.
kadam mila kar chalna hoga.
ujiyaare mein andhkaar mein
kal kachaar mein, beech dhaar mein,
ghor ghrina mein, poot pyaar mein,
kshanik jeet mein deergh haar mein
jeewan ke shat-shat aakarshak,
armaanon ko dalna hoga.
kadam mila kar chalna hoga.
Preface: Javed Akhtar's deliverd by Amitabh Bachhan
Poem : Atal Bihari Vajpayee
Music : Jagjit Singh
Voices : Atal Biari Vajpayee

Subscribe to:
Posts (Atom)