Sunday, December 28, 2008

Mirza Ghalib 1988

Lyrics : Mirza Ghalib
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh
Vinod Sehgal
Gulzar



Ibteda

hain aur bhi duniya mein sukhanwar bohot achche
kehte hain ki 'Ghalib' ka hai andaaz-e-bayaan aur


balli maarhah ke mahalle ki wo pechida daleelon ki see wo galiyan
saamne taal ke nukkad pe bateron ke posheede
gud-gudaati hui paan pi peekon mein wo daad wo wah-wah
chand darwaaze par latke huye boshida se kuch taat ke parde
ek bakri ke mamiyaane ki awaaz
aur dhoondhlaayi huyi shaam ke be-noor andhere
aise deewaron se mooh jod kar chalte hain yahan
chudi-waala unke katri ke badi bee jaise
apNi boojhti hui aankhon se darwaaze tatole
aisee be-noor andheri see gali qaasim se
ek quran-e-sukhan ka safa khulta hai
asad allah khan 'Ghalib' ka patha milta hai.



1. har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
tumheen kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

ragon mein daudte firne ke ham naheen qaayal
jab aankh hee se na tapka to fir lahoo kya hai ?

chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamari jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?

jalaa hai jicm jahaan dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

rahi na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhi
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?




2.
aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak
kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?

aashiqui sabr talab aur tamanna betaab
dil ka kya rang karoon khoon-e-jigar hone tak ?

ham ne maana ke tagaful na karoge, lekin
khaak ho jaayenge ham tumko khabar hone tak

gham-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
shamma'a har rang mein jaltee hai sahar hone tak




3. ishq mujhko nahin, wehshat hi sahi
meree wehshat, teree shohrat hi sahi

ham bhi dushman to nahin hain apne
ghair ko tujh se mohabbat hee sahi

hum koi tarq-e-wafa karte hain
na sahi ishq, museebat hee sahi





4. qaasid ke aate aate khat ik aur likh rakhoon
main jaanta hoon jo wo likhenge jawaab mein

kab se hoon kya bataaoon jahaan mein kharaab mein
jab haaye hizr ko bhi rakhoo gar hisaab mein

mujh tak kab unki bazm mein aata thaa daur-e-jaam
saaqi nein kuch mila na diya ho sharaab mein

taaqir na intezaar mein neend aaye umr bhar
aane ka 'ehed kar gaye aaye jo khwaab mein

'Ghalib' chuti sharaab par ab bhi kabhi kabhi
peeta hoon roj-e-abro shab-e-maahtaab mein





5. hazaaron khwahishain 'aisi ke har khwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaan lekin fir bhi kam nikle

nikalna khuld se aadam ka sunte aayain hain lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

mohabbat mein naheen hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dam nikle

khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim
kaheen 'eisa na ho yaan bhee wohee kaafir sanam nikle

kahaan maikhaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaan waaiz
par itana jaante hain kal wo jaata tha ke ham nikle






6. dil hee to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye kyon ?
royenge ham hazaar baar, koee hamein sataaye kyon ?

dair nahin, haram nahin, dar nahin, aastaan nahin
baithe hain rehguzar pe ham, ghair hamein uthaaye kyon ?

haaN wo naheen khuda_parast, jaao wo be_wafa sahi
jisko ho deen-o-dil 'azeez, uski galee mein jaaye kyon ?

'GHalib'-e-khasta ke baghair kaun se kaam band hain ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyon ?




7. woh firaaq aur woh wisaal kahaan ?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaan ?

thee woh ik shakhs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-khayaal kahaan ?

'eisa aasaan naheen lahoo rona
dil meiN taaqat jigar mein haal kahaan ?

fikr-e-duniyaan mein sar khapaata hoon
main kahaan aur ye wabaal kahaan?




8. tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa
ke khushi se mar na jaate agar 'aitbaar hota

ye na thi hamaari qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahi intezaar hota

ye kahaan ki dostee hai ke bane hain dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee ghamgusaar hota

kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota




9. baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

hota hai nihaan gard mein sehara mere hote
ghisata hai jabeen khaak pe dariya mere aage

mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

imaan mujhe roke hai jo khinche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

go haath ko jumbish nahin aanhon mein to dam hai
rehne do abhee saaghar-o-meena mere aage




10. kisee ko de ke dil koi nawaa_sanj-e-fughaan kyon ho ?
na ho jab dil hee seene mein to fir munh mein zubaan kyon ho ?

wafa kaisi ? kahaan ka ishq ? jab sar phodna thehra
to fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaan kyon ho ?

yahee hai aazmaana to sataana kis ko kehte hain ?
`adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaan kyon ho ?

qafas mein mujh se roodaad-e-chaman kehte na dar hamdam
giri hai jis pe kal bijli woh mera aashiyaan kyon ho ?





11. ye na thi hamaari qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

koi mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye khalish kahaan se hotee jo jigar ke paar hota

kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buri bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota





12. koi din gar zindagaanee aur hai
apne jee mein hamne thaani aur hai

baarha dekhi hain unki n
par kuchch ab ke sar giraani aur hai

deke khat munh dekhta hai naamabar
kuchch to paighaam-e-zabaanee aur hai

ho chukeen 'ghalib' balaayen sab tamaam
ek marg-e-naagahaanee aur hai




13. dil hei to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye kyon ?
royenge ham hazaar baar, koi hamein sataaye kyon ?

qaid-e-hayaat-o-band-e-gham asl mein dono ek hain
maut se pehle aadmee gham se nijaat paaye kyon ?

'GHalib'-e-khasta ke baghair kaun se kaam band hain ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyon ?





14. zulmat_kade mein mere shab-e-gham ka josh hai
ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so khamosh hai

daagh-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jali hui
ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee khamosh hai

aate hain ghaib se ye mazaameen khayaal mein
'GHalib', sareer-e-khaama nawa-e-sarosh hai




15. dil-e-naadaan tujhe hua kya hai ?
aakhir is dard kee dawa kya hai

hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheen jaante wafa kya hai

dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai

ham hain mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?

jab ki tujh bin naheen koee maujood
fir ye hangaama, 'ei khuda ! kya hai

jaan tum par nisaar karta hoon
main naheen jaanata duaa kya hai




16. unke dekhe se jo aa jaathi hai moonh par raunaq
wo samajhtn hain ke beemaar ka haal achcha hai

dekhiye paate hain pushaaq buton se kya faiz
ik barhaman ne kaha hai ke ye saal achcha hai

humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ko khusH rakHne ko 'GHalib' ye khayaal achcha hai




17. sab kahan-kuch lala-o-gul mein numaayan ho gayi
khaak mein kya suraten hongi ke pinhan ho gayi

ranz se khu-garz hua insaan to mit jaata hai ranz
mushkilyen mujh par padi itni ke aasaan ho gayi

yun hi gar rota raha 'GHalib' to e-ehle jahaan
dekhna in bastiyon ko tum ke veeraan ho gayi




18. na tha kuchch to khuda tha, kuchch na hota to khuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota main to kya hota ?

huaa jab gham se yoon behis to gham kya sar ke katne ka
na hota gar juda tan se to zaanoon par dhara hota

hui muddat ke 'GHalib' mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehna, ke yoon hota to kya hota ?

Beyond Time 1987

Lyrics : Nazir Bakri (1)
Shahid Kabir (2)
Ishrat Afreen (3)
Muzaffar Warsi (4)
Rahat Indori (5)
Murad Lucknowi (6)
Kashif Indori (7)
Mohammad Durrani (8)
Sudarshan Faakir (9)
Nazir Banarsi (10)
Shakeb Jalali (11)
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh


1. apni aankho ke samundar mein utar jaane de
tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de

aye nayey dosth main samjhoonga tujhe bhee apna
pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de

aag duniya ki lagayee hui bhuj jayeygee
koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de

zakhm kitne teri chaahat se mile hain mujko
soNchtaa hoon ki kahoon tujhse magar jaane de



2. neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai
dekh lena abhi kuch der mein duniya kya hai

baandh rakha hai kisee sonch ne ghar se humko
varna apna dar-o-deewar se rishta kya hai

ret ki eent ki pathar ki hoon ya mitti ki
kisi deewar ke saye ka barosa kya hai

apni daanist me samjhay koi duniya `Shahid'
warna hathon mein lakiron ke ilaawa kya hai



3. apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai
patthar beech aaeeena rakhna kitna mushkil hai

kitna aasaan hai tasveer banaana auron kee
khud ko pase-aaeenaa rakhna kitna mushkil hai

tumne mandir dekhe honge ye mera aangan hai
ek diya bhi jalta rakhna kitna mushkil hai

chullu mein ho dard ka dariya dhyaan mein uske honth
yun bhee khud ko pyaasa rakhna kitna mushkil hai



4. Lab-e-khaamosh se izhaar-e-tamanna chaahe
baat karne ko bhee tasveer ka lehja chaahe

tu chale saath to aahat bhee na aaye apni
dar mein aahan bhee na ho yun tujhe tanha chaahe

khwaab mein roye to ehsaas ho sairaabi ka
ret par soyen magar aankh mein dariya chaahe

aise tairaaq bhee dekhe hain 'muzaffar' humne
gharq hone ke liye bhee jo sahara chaahe



5. log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon hain
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyoon hain

main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon
roshni waale mere naam say jalte kyoon hain

neend se mera taaluq hi nahin barso sein
khawab aa aa ke meri chhat pe tehlte kyoon hain

mod hota hai jawaani ka sambhalne ke liye
aur sab log yahin aa ke fisalte kyoon hain



6. mera dil bhi shauk se todo ek tajurba aur sahi
lakh khilonay tod chuke ho ek khilona aur sahi

raat hai gham ki aaj bhuja do jalta hua har ek chirag
dil mein andhera ho hi chuka hai ghar mein andhera aur sahi

dam hai nikalta ik aashiq ka bheed hai aa kar dekh to lo
lakh tamashe dekhe honge ek nazaara aur sahi

khanjar ley kar onchte kya ho qatl `murad' bhi kar daalo
daag hain sau daaman pe tumhare ek izaafa aur sahi



7. jhoothi sachchi aas pe jeena kab tak aakhir aakhir kab tak
mai ki jagah khoon-e-dil peena kab tak aakhir aakhir kab tak

saucha hai ab paar utraingay ya takra kar doob marenge
toofanon ki zad pay safeena kab tak aakhir aakhir kab tak

ek maheene ke waade par saal guzaara phir bhi na aaye
waade ka yeh ek maheena kab tak aakhir aakhir kab tak

saamnay duniya bhar ke gham hain aur idhar ik tanha hum hain
sainkdo pathar ik aaiana kab tak aakhir aakhir kab tak



8. saare badan ka khoon paseene mein jal gaya
itna chale ke jism hamara pighal gaya

chalthehi gin rahe the' museebat ke raat din
dam lene hum jo baith gaye dam nikal gaya

achha hua jo raah mein thokar lagee humen
hum gir pade to saara jamaana sambhal gaya

wehshat mein koi saath humara na de saka
daaman ke fikr kee to garebaan nikal gaya



9. saamne hai jo usey log bura kehte hain
jisko dekha hee nahi usko khuda kehte hain

zindagi ko bhee sila kehte hain kehne waale
jeene waale to gunaahon kee saza kehte n

faasile umr ke kuch aur badha deti hai
jaaney kyoon log use phir bhee dawa kehte hain

chand masoom se patton ka lahoo hai `Fakir'
jisko mehboob ke haathon ki hina kehte hain



10. ye karen aur wo karen aisa karen waisa karen
zindagi do din ki hai do din mein hum kya kya karen

jee mein aaata hai ki dein parde se parde ka jawaab
hum se wo parda karen duniyaa se hum parda karen

sun raha hoon kuch lootere aa gayey hain shehar mein
aap jaldi bandh apne ghar ka darwazaa karen

is puraani be-wafa duniya ka rona kab talak
aaiyey mil-jul ke ik duniya nayee paida karen



11. jahan jahan mujhe sehra dikhayee deta hai
meri tarah se akela dikhayee deta hai

yeh ek abr ka tukda kahan kahan barse
tamam dasht hi pyaasa dikhayee deta hai

yeh kis maqaam pe laayee hai justjoo teri
jahan se arsh bhi nicha dikhayee deta hai


12. shaayad aa jaayega saaqi ko taras ab ke baras
mil na paya hai un aankhon ka bhi ras ab ke baras

aisi chaayi thi kahan gham ki ghatayen pehle
haan mere deedar tar khoob baras ab ke baras

oof wo un umad bhari aankhon ke chhlakte huye jaam
badh gayi aur bhi peene ki hawas ab ke baras

pehle ye kab tha ki wo mere hain main unka hoon
unki yaadon ne sataya hai tho bas ab ke baras

Echoes 1985-86

Lyrics :
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh



1. huzoor aapka bhi ahtraam karta chaloon
idhar se guzra tha socha salaam karta chaloon

nikha-o-dil ki yahi aakhri tamanna hai
tumhari zulf ke saaye mein shaam karta chaloon

unhe yeh zidd ki mujhe dekh kar kisi ko na dekh
mera yeh shauk ke sabse qalaam karta chaloon

yeh mere khabon ki duniya nahin sahi lekin
ab aa gaya hoon to do din qyaam karta chaloon



2. safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo
sabhi hain bheed mein tum bhee nikal sako to chalo

kisi ke waaste raahen kahan badalti hai
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo

yahan kisi ko koi raasta nahin deta
muJhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo

yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummeeden
inhi khilonon se tum bhee bahal sako to chalo


3. shola ho bhadakne ki guzaarish nahin karta
sach muuh se nikal jaata hai koshish nahin karta

girti huye diwaar ka humdard hoon lekin
chadhte hue sooraj ki parasthish nahin karta

maathe ke paseene ki mahak aaye na jaisi
wo khoon mere jism mein gardish nahin karta

humdard ye ehbaab se darta hoon 'Muzaffar'
main zakhm to rakhta hoon numaish nahin karta


4. aap ko bhool jaayen hum itni to bewafa nahin
aapse kya gila karen aapese koi gila nahin

sisha-e-dil ko todna unka to ek khel hai
humse hi bhool ho gayee unko koi khata nahin

kaash wo apne gham mujhe de den to kuch sukoon mile
wo kitna bad-naseeb hain gam hee jise mila nahin

jurm hai gar wafa to kya, kyoon kar wafa ko chod doon
kehte hain is gunaah kee hoti koi saja nahin


5. mai chahta bhi yehi tha, wo bewafaa nikle
use samajhne ka koi to silsila nikle

kitaab-e-maazi ke panne ulat ke dekh zara
na jaane kaun sa panna muda hua nikle

jo dekhne mein bahut hi karib lagtaa hai
usi ke baare mein socho to faasila nikle


6. Boliyan (Punjabi)


7. mai khayal hu kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai


8. aisa lagta hai zindagi tum ho
ajnabee kaise ajnabee tum ho

ab koi aarzoo nahin baakee
justjoo meri aakhri tum ho

main zameen par ghana andhera hoon
aasmaanon ki chandni tum ho

doston se wafa ki ummeeden
kis zamaane ke aadmi tum ho

9. maana ke musht-e-khak se badh kar nahin hoon main
lekin hawa ke rehmo-karam par nahin hoon main

insaan hoon dhadkte huye dil par haath rakh
yoon doob kar na dekh samandar nahin hoon main

chehre pe mal raha hoon siyaahi naseeb ki
aaiynaa haath mein hai sikandar nahin hoon main

'ghalib' tere zameen mein likhi to hai ghazal
tere kad-e-sukhan ke baraabar nahin hoon main



10. dene vaale mujhe maujo ki ravaani dede
fir se ek baar mujhe meri jawaani dede

abr ho jaam ho saaki ho mere pehloo mein
koi to shaam mujhe aisi suhaani dede

nasha aa jaye mujhe teri jawaani ki kasam
tu agar jaam mein bhar ke mujhe paani dede

har jawan dil mere afsaanon ko dohraata rahe
hashR tak khatm na ho aisi kahaani dede



11. tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi
saari duniya se chupa lenge tum aao to sahi

ek waada karo ab humse na bichdoge kabhi
naaz hum saare utha lenge tum aao to sahi

bewafa bhee ho sitamgar bee jafa pesha bhee
hum khuda tumko bana lenge tum aao to sahi

raah taarikh hai aur door hai manzil lekin
dard ki shamme jala lenge tum aao to sahi



12. fir usi raah guzar kar shaayad
hum kabhi mil sakeN magar shaayad

jaan pehchaan se kya hoga
fir bhi ae dosth gaur kar shaayad

muntjir jinke hum rahe unko
mil gaye aur hum-safar shaayad

jo bhee bichde hain kab mile hain 'faraar'
fir bhee tu intezaar kar shaayad

A Sound Affair 1985

Lyrics : Shahid Meer (1)
Firaq Gorakhpuri (2)
Rana Sahri (3 & 8)
Bashir Badr (4)
Prem Warbartni (5)
Rajendranath Rahbar(6)
Saeed Rahi (7)
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh


1. ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de
ya chhalakti aankhon ko bhi patthar kar de

tujhko dekha nahin mehsoos kiya hai maine
aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de

aur kuch bhi mujhe darkaar nahin hai lekin
meri chaadar mere pairon ke baraabar kar de




2. ye to nahin ke gam nahin
haan meri aankh nam nahin

tum bhi to tum nahin ho aaj
hum bhi to aaj hum nahin

ab na khushi kee hai khushi
gam ka bhi ab to gam nahin

maut agar che-maut hai
maut se zeest kam nahin




3. kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam ki tarah
log milte hain badalte huye mausam ki tarah

mere mehboob mere pyaar ko ilzaam na de
hiJr mein eed manayi hai moharrum ki tarah

maine khushboo ki tarah tujhko kiya hai mehsoos
dil ne chheda hai teri yaad ko shabnam ki tarah

kaise ham-dard ho tum kaisi masihaayee hai
dil pe nashtar bhi lagate ho to marham ki tarah



4. socha nahin achcha bura dekha suna kuch bhi nahin
maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahin

dekha tujhe socha tujhe chaaha tujhe pooja tujhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahin

jispar hamari aankh ne moti bichchaaye raat bhar
bheja wohi kaagaz tujhe humne likha kuch bhi nahin

ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq
aankhon se kee baaten bahot humne kaha kuch bhi nahin




5. kabhi to khul ke baras ab ke meherbaan ki tarah
mera wazood hai jalte huye makan ki tarah

main ik khwaab sahi aapki amaanat hoon
muJhe sambhaal ke rakhiyegaa jism-o-jaan ki tarah

kabhi to soch ke wo saksh kis kadar tha buland
jo bichh gaya tere kadmon mein aasmaan ki tarah

bula rahaa hai muJhe fir kisi badan ka basant
guzar na jaaye ye ruth bhi kahin khizaan ki tarah




6. jinko duniyan kee nigaahon se chupaaye rakha
jinko ik umr kaleje se lagaaye rakha
din jinko, jinhe eemaan banaaye rakha
tune duniyan kee nigaahon se jo bachkar likhe
salha-saal mere naam baraabar likhe
kabhi din mein to kabhi raat mein uthkar likhe
pyaar mein doobe huye khat main jalaata kaise
tere haathon ke likhe khat main jalaata kaise
tere khat aaj main ganga mein baha aaya hoon
aag jalte huye paani mein laga aaya hoon.



7. aankh se aankh milaa, baat banaata kyoon hai
tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyoon hai

gair lagta hai hai na apno ki tarah miltaa hai
tu zamaane kee tarah mujhko sataata kyoon hai

waqt ke saath haalaat badal jaate hain
ye haqeeqat hai magar mujhko sunaata kyoon hai

ek muddat se jahan kaafile gujre hi nahin
aisi raahon pe charaagon ko jalaata kyoon hai




8. manzil na de charaag na de hauslaa to de
tinke ka hi sahee tu magar aasraa to de

maiNe ye kab kaha ke mere haq mein ho jawaab
lekin khamosh kyoon hai tu koi faislaa to de

barson main tere naam pe khaata raha fareb
mere khuda kahan hai tu apna pata to de

beshaq mere naseeb pe rakh apnaa ikhtiyaar
lekin mere naseeb mein kya hai bata to de

Ecstasies 1984

Lyrics : Madan Pal (1)
Saeed Rahi (2,4)
Sahir Hoshiarpuri (3)
Bekal Utsahi (5)
Rais Ahktar (6)
Ibraheem Ashk (7)
Salam Machhli Shehri (8)
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh


1. jawan hai raat sakiya sharaab la sharaab la
zara si pyaas to bujha sharaab la sharaab la

tere shabab par sada karam rahe bahaar ka
tujhe lage meri dua sharaab la sharaab la

yahan koi na jee saka na jee sakega hosh mein
mitaa de naam hosh ka sharaab la sharaab la

tera bada hi shukriya pilaaye ja pilaaye ja
na zikr kar hisaab ka sharaab la sharaab la



2. paseene paseene huye jaa rahe ho
ye bolo kahan se chale aa rahe ho

hamen sabr karne ko keh to rahe ho
magar dekh lo khud hi ghabraa rahe ho

ye kiskee buri tumko nazar lag gayee hai
baharon ke mausam mein murjha rahe ho

ye aaina hai ye to sach hi kahega
kyon apni haqeeqat se katraa rahe ho



3. tumne sooli pe latakte jise dekha hoga
waqt aayega wahi shaksh maseeha hoga

khwaab dekha thaa ke sehra mein basera hoga
kyaa khabar thi ke yahi khwaab to sachcha hoga

main fizaaon mein bikhar jaaoonga khushboo bankar
rang hoga na badan hoga na chehra hoga



4. mere jaise ban jaoge jab ishq tumhe ho jaayega
diwaron se takraaoge jab ishq tumhe ho jaayega

har baat gawaara kar loge mannat bhi ukara loge
tabeejen bhi bandhwaaoge jab ishq tumhe ho jaayega

tanhaayee ke jhoole jhoologe har baat puraani bhoologe
aayine se ghabraoge jab ishq tumhe ho jaayega

jab sooraj bhi kho jaayega aur chaand kahin so jaayega
tum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhe ho jaayega

bechaini jab badh jaayegi aur yaad kisi ki aayegi
tum meri ghazalen gaoge jab ishq tumhe ho jaayega



5. jabse hum tabah ho gaye
tum jahan-panah ho gaye

husn par nikhaar aa gaya
aayine se aah ho gaye

aandhiyon ki kuch khata nahin
hum hi dard-e-raah ho gaye

dushmanon ko chitthiyan likho
dosth khair-baah ho gaye



6. humko dushman kee nigahon se na dekha keeje
pyaar hi pyaar hain hum humpe bharosa keeje

chand yaadon ke siwa haath na kuch aayega
is tarah umr-e-gureza ka na peecha keeje

roshni auron ke aangan mein gawara na sahee
kam se kam apne ghar mein to ujaala keeje

kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye
roz palkon pe nayee shamme jalaya keeje



7. ik nazar dekh ke hum jaan gaye
aap kya cheez hain pehchaan gaye

fir bhi zinda hoon ajab baat hai ye
kab se ho leke meri jaan gaye

tum jo aaye to bhari mehfil mein
dil gaye haath se eemaan gaye

jis jagah par na farishte pahunche
us jagah aaj ke insaan gaye



8. bahut dinon kee baat hai
fizaa ko yaad bhi nahin
ye baat aaj kee nahin
bahut dinon kee baat hai

shabaab par bahaar thee
fizaa bhi khush-gawaar thee
naa jaane kyoon machal pada
main apne ghar se chal pada
kisi ne mujhko rok'kar
badi adaa se tok'kar
kaha tha laut aae'iye
meri kasam naa jaai'iye

par mujhe khabar na thee
maahol par nazar na thee
naa jaane kyoon machal pada
main apne ghar se chal pada
main shehar se phir aa gaya
khayal thaa ke paa gaya
us'e jo mujhse door thee
magar meri zaroor thee

aur ik hasin shaam ko
main chal pada salaam ko
gali ka rang dekh'kar
nayee tarang dekh'kar
mujhe badi khushi huyee
main kuch isi khushee mein tha
kisi ne jhaank'kar kaha
paraaye ghar se jaai'iye
meri kasma na aai'iye

wahi haseen shaam hai
bahaar jiska naam hai
chala hoon ghar ko chodkar
na jaane jaaoonga kidhar
koi nahin jo tok'kar
koi nahin jo rok'kar
kahe ke laut aai'iye
meri kasam na jaai'iye

meri kasam naa jaai'iye ......

The Latest 1982

Lyrics : (info not available)
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh


1. ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo
bhale cheen lo mujhse meri jawaani
magar mujhko lauta do bachchpan ka saawan
wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani

mohalle ki sabse nishaani purani
wo budhiya jise bachche kehte the naani
wo naani kee baaton mein pariyon ka dera
wo chehre ke jhuriyon mein sadiyon ka phera
bhulaaye nahin bhool saqta hai koi
wo choti see raaten wo lambi kahaani

kadi dhoop mein apne ghar se nikalna
wo chidiya wo bulbul wo thithli pakadna
wo gudiya ki shaadi pe ladna jhagadna
wo jhoolon se girna, wo gir ke sambhalna
wo pithal ke challon ke pyaare se tho'fe
wo tuti hui chudiyon ki nishaani

kabhi re't ke oonche tilon pe jaana
gharonde banana, banaake mitaana
wo maasoom chaahat ki tasveer apni
wo khwabon khilono ki taabir jaageer apni
na duniYa ka gham tha na rishton ke bandhan
badi khoobsoorat thi wo zindgaani



2. shayad main zindagi ki sahar le ke aa gaya
qaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya

taa umr dhoondta raha manzil main ishq ki
anjaam ye ke garde safar le ke aa gaya

nashtar hai mere haath mein kaandhon pe maikada
lo main ilaaJe dard-e-zigar le ke aa gaya

'faakir' sanam maikade mein na aata main lautkar
ik zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya




3. zindagi tuJhko jiya hai koi afsos nahin
zehar khud maine piya hai koi afsos nahin

maine mujrim ko bhi mujrim na kaha duniya mein
bas yahi zurm kiya hai koi afsos nahin

meri kismat mein jo likkhe the unhi kaanton se
dil ke zakhmon ko seeya hai koi afsos nahin

ab gire sang ke sishon ki hoon baarish 'faakir'
ab kaFan odh liya hai koi afsos nahn



4. us's mod se shuru karen phir ye zindagi
har shay jahan haseen thee, hum tum the ajnabi

lekar chale the hum jinhe jannat ke khwaab the
phoolon ke khwaab the wo mohabbat ke khwaab the
lekin kahan hai unmein wo pehle see dilkashi

rehte the hum haseen khayaalon ki bheed mein
ulJhe huye hain aaj sawaalon ki bheed mein
aane lagi hai yaad wo fursat ki har ghadi

shaayad ye waqt humse koi chaal chal gaya
rishta wafa ka aur hi rangon mein dhal gaya
ashkon ki chandini se thee behtar wo dhoop hi




5. jis mod par kiye the hum intejaar barson
us'se lipat ke roye, deewana-waar barson

tum gulsitan se aaye zikre khizaan hilaaye
humne kafas mein dekhi fasle bahaar barson

hoti rahee hai yun to barsaat aasuon kee
uth'te rahe hain phir bhi dil se gubaar barson

wo sang-e-dil tha koi begaana-e-wafa tha
karte rahen hai jiska hum intezaar barson




6. charaag aaftaab gum, badi haseen raat thee
shabaaB ki naqaab gum, badi haseen raat thee

mujhe pila rahe the wo ke khud hi shamma bujh gayee
gilaas gum, sharaab gum, badi haseen raat thee

likha tha jis kitaab mein ke ishq to haraam hai
huyee wohi kitaab gum, badi haseen raat thee

labon se lab jo mil gaye, labon se lab hi sil gaye
sawaal gum, jawaab gum, badi haseen raat thee




7. dil ke deewaron dar pe kya dekha
bas tera naam hi likha dekha

teri aankhon mein humne kya dekha
kabhi qaatil kabhi khuda dekha

apnee soorat lagi paryee si
jab kabhi humne aa'inah dekha

haaye andaaz tere rukne ka
waqt ko bhi ruka ruka dekha

tere jaane mein aur aane mein
humne sadiyon ka faasila dekha

phir na aaya khayaal zannat ka
jab tere ghar ka raasta dekha




8. dhal gaya aaftaaB ae saaqi
la pila de sharaab ae saaqi

ya suraahi laga mere mooh se
ya ulat de naqaab ae saaqi

maikada chod kar kahan jaaoon
hai zamana kharaab ae saaqi

jaam bhar de gunaahgaaron ke
ye bhi hai ik sawaab ae saaqi

aaj peene de aur peene de
kal karenge hisaab ae saaqi

Main aur Meri Tanhaayee 1981

Lyrics : ali sardar zafri
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh



1. hum bhi sharaabi, tum bhi sharaabi
chalke gulaabi, chalke gulaabi
taqdeer dil ki khaana kharaabi

jab tak hai jeena khush ho ke jee lein
jab tak hai peena jee bhar ke pee lein
hasrat na koi reh jaaye baaki

kal suboh ke daaman mein tum hoge na hum honge
bas reth ke seene par kuch laksh kadam honge

bas raat bhar ke mehmaan hum hain
zulfoN mein shab ke thode se kam hain
baaki rahega saagar na saaqi



2. mere darwaze se ab chand ko ruksat kar do
saath aaya hai tumhaare jo tumhaare ghar se
apne maathe se hata do ye chamakta hua taaj
fenk do jism se kirnon ka sunahri zewar
tumhi tanha mera gham khaane mein aa sakti ho
ek muddat se tumhare hi liye rakha hai
mere jalte huye seene ka dahakta hua chaand



3. awaara hai galiyon mein main aur meri tanhaayee
jaayeN to kahan jaayen har mod pe ruswayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

ye phool se chehre hain hanste huye guldaste
koi bhee nahin apna begaane hain sab raste
raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

armaan sulagte hain seene mein chitha jaise
qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise
roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

har rang mein ye duniya sau rang dikhaati hai
rokar kabhi hansti hai hanskar kabhi gaati hai
ye pyaar ki baahen hain ya maut ki angdaayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee




4. aawaara hai galiyon mein main aur meri tanhayee
jaayen to kahan jaayen har mod pe ruswaayee
maiN aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

ye phool se chehre hain hanste huye guldaste
koi bhee nahin apna begaane hain sab raste
raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

armaan sulagte hain seene mein chitha jaise
qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise
roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

aakaash ke maathe par taaron ka charagam hai
pehloo mein magar mere zakhmon ka gulistaan hai
aankhon se lahoo tapka daaman mein bahaar aayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee




5. tamannaon ke bahlave meinn aksar aa hi jaate hain
kabhi hum chot khaate haIn kabhi hum muskuraate hain

ham aksar doston ki bewafee seh to lete hain
magar hum jaante hain dil hamaare toot jaate hain

kisi ke saath jab beete huye lamhon ki yaad aayee
thaki aakhon mein askhon ke sitaare jhilmilaate hain

ye kaisa istheyaaki deed aur kaisi majboori
kisi ki bazm tak hum kyoon jaa jaa ke laut aate hain




6. baad muddat unhen dekh kar yoon laga
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aarzoo ke gul muskuraane lage
jaise gulshan mein bahaar aa gaya

tishna nazren mili shokh nazron se jab
maiN barasne lagi jaam bharne lage
saaqiyaa aaj teri zaroorat nahin
bin piyee bin pilaaye khumaar aa gaya

raat sone lagi subah hone lagi
shamma buJhne lagi dil machalne lage
waqt ki roshni mein nahaayee huyi
zindagi pe ajab sa nikhaar aa gaya

A Milestone 1980

Lyrics : Qateel Shifai
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh



1. milkar juda huye to na soya karenge hum
ek doosre ke yaad mein roya karenge hum

aansoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar
moti palak palak mein piroyaa karenge hum

jab dooriyon ki yaad dilon ko jalaayegi
jismon ko chaandni mein bhigoya karenge hum

gar de gaya daga hamen toofan bhi 'qateel'
sahil pe kashtiyon ko dooboya karenge hum



2. yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye mujhe
ke sang tujhpe gire aur zakhm aaye mujhe

wo meharbaa hai to ikraar kyoon nahin karta
wo badgumaan hai to sau baar aazmaaye mujhe

wo mera dost hai saare jahaan ko hai maaloom
daga kare wo kisi se tho sharm aaye mujhe

main apni zaat mein neelam ho raha hoon 'qateel'
gham-e-hayaat se keh do khareed laaye mujhe




3. dil ko gham-e-hayaat ganwaara hai in dino
pehle jo dard tha wahi chaara hai in dino

ye dil zara sa dil teri yaadon mein kho gaya
zarre ko aandhiyon ka sahara hai in dino

tum aa sako to shab ko badha doon kuch aur bhi
apne kahe mein subho ka taara hai in dino



4. apne haathon kee lakiron mein basa le mujhko
main hoon tera to naseeb apna bana le mujhko

muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani
ye teri saadaa-dili maar na daale mujhko

khud ko main baant na daaloon kahin daaman-daaman
kar diya tune agar mere hawaale mujhko

waada fir waada hai main zehar bhi pee jaaoon 'qateel'
shart ye hai koi baahon mein sambhaale mujhko



5. pareshaan raat saari hain sitaron tum to so jaao
sukut-e-marg taari hai sitron tum to so jaao

tumhe kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya
ye baazi humne haari hai sitaron tum to so jaao

kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se
ye kaisi raazdaari hai sitaron to so jaao



6. angdai par angdai leti hai raat judaaee kee
tum kya samjho tum kya jaano baat meri tanhaayee kee

kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya mein
maiNe aankh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee

wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par
waqt se pehle dhoob gaye taaron ne badi daanaee kee

udte udte aas ka panchi door ufaq mein doob gaya
rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee



7. sadma hai mujhe bhi ke tujhse juda hoon main
lekin ye sonchtaa hoon ke ab tera kyaa hoon main

biKhraa pada hai tere hi ghar mein tera wajood
bekaar mehfilon mein tujhe dhoondtaa hoon main

naa jaane kis adaa se liya toone mera naam
duniya samajh rahee hai ke sab kuch tera n main

le mere tajurbon se sabak ae mere raqeeb
do chaar saal umr mein tujhse bada hoon main



8. tumhare anjuman se uthke diwane kahaan jaate
junba basta huye hamse wo ab sare kahaan jaate

tumhari berukhi ne laaj rakh li waada-faan-e ki
tum aaNkhoN se pila dete to paimane kahaan jaate

chalo achchha hua kaam aa gayi diwaangi apni
warna ham zamaane bhar ko samjhaane kahaan jaate



9. pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye
fir jo nigah-e-yaar kahe maan jayeeye

pehle mijaaz raah guzar jaan jayeeye
fir kard-e-raah jo bhi kahe maan jaayeye

kuchh keh rahi hai aapke seene ki dhadkane
mera nahi to dil ka kaha maan jayeeye

ik dhoop si jami hai nigaahon ke aas paas
ye aap haiN to aap pe kurbaan jayeeye

shayad huzoor se koi nisbat hame bhi ho
aaNkho me jhaank kar hame pehchaan jayeeye



10. pareshaan raat saari hain sitaron tum to so jaao
sukut-e-marg taari hai sitron tum to so jaao

hame to aaj ki shab poh fate tak jaagna hoga
yahi kismat hamari hai sitaron tum to so jaao

hame bhi neend aa jayegi hum bhi so hi jayenge
abhi kuchh bekarari hai sitaron tum to so jaao