Monday, December 29, 2008

Passion / Black Magic 1988

Lyrics : Sudarshan Faakir (1, 2 and 8)
Prem Varbatni (3)
Seemab Akbrabadi (4)
Bekhud (5)
Rana Sahri (6)
Wajida Tabassum (7)

Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh


1. patthar ke khuda, pathar ke sanam
patthar ke hi insaan paayen hain
tum sehre-e-mohabbat kehte ho
hum jaan bachcha-kar aayen hain

but-khaana samajhte ho jisko
puchcho na wahan kya haalat hai
hum log wahin se launte hain
bas shukr karo lautn aaye hain

hum soch rahen hain muddat se
ab umr guzaaren bhi to kahan
sehra mein khushi ke phool nahin
shehron mein gamon ke saaye hain

hothon pe tabassum halqa sa
aankhon mein nami si a'e faaqir
hum aehle-e-mohabbat par aksar
aise bhi zamaane aaye hain




2. jab bhi tanhaayee se ghabraake simat jaate hain
Hum teri yaad ke daaman se lipat jaate hain

unpe toofan ko bhi afsos hua karta hai
wo safine jo kinaron pe ulat jaate hain

hum to aaye the' rahen saakh mein phoolon ki tarah
tum agar haar samajhte ho to hat jaate hain



3. jawaani ke heele, haya ke bahaane
ye maana ke tum mujhse parda karogi
ye duniyan magar tujhsee bholi nahin hai
chhupaake mohabbat ko ruswa karogi

badi koshishon se, badi khwaahishon se
tamanna ke sehmi hui saajishon se
milega jo mauka to be-chain hokar
darichon se tum mujhko dekha karogi

sataayegi jab chaandni ki udaasi
dukhaayegi dil jab fizaa ki khamoshi
ufaq ki tarah khaali nazaren jamaakar
kabhi jo na socha wo socha karogi

kabhi dil ki dhadkan mehsoos hogi
kabhi thandi saason ki toofnaan uthegi
kabhi gir ke bishtar pe aahen bharogi
kabhi jhuk ke takiye pe roya karogi



4. ye kya jaane mein jaana hai, jaate ho khafaa hokar
main jab jaanoon, mere dil se chale-jaao juda hokar

qayaamat taak udegi dil se uthkar khaaq aankhon taq
isee raste gaya hai hasraton ka kaafila hokar

tumhi ab dard-e-dil ke naan se ghabraaye jaate ho
tumHi to dil mein shaayad aaye the' dard-e-aashiyan hokar

yoonhi hamdam ghadi bhar ko mila karte tho behtar tha
ke dono waqt jaise roz milte hain juda hokar




5. main pilaakar aapka kya jaayega
jaayega eemaan jiska jaayega

dekhkar mujhko wo sharmaa jaayega
ye tamaasha kis-se dekha jaayega

jaaoon buth-khaane se kyoon kaabe ko main
haath se ye bhi thikaana jaayega

qatl ki jab usne di dhamki mujhe
keh diya maine bhi dekha jaayega

pee bhi le do ghoont zaahid pee bhi le
maiqade se kaun pyaasa jaayega





6. hai ikhtiyaar mein tere to mauj sa kar de
wo shakhs mera nahin hai usse mera kar de

mere khizan kahin kahtm hi nahin hota
zara see door ro rasta hara bhara kar de

main uske shor ko dekhoon wo mera sab ....
muJhe charag bana de usse hawa kar de

akeli shaam bahut hi udaas karti hai
kisiko bhej, koi mera hum-nawa kar de



7. ye bhi kya ehsaan kam hai dekhiye na aap ka
ho raha hai har taraf charcha humara aap ka

chaand mein to daag hai par aape mein wo bhi nahin
chaudhwi ke chaand se badhke hai chechra aap ka

ishq mein aise bhi hum doobe huye hain aap-ke
apne chechRe pe sada hota hai dhoKha aap ka

chaand-suraj, dhoop-subahah, keh-kasha taare-shama
har ujaale ne churaaya hai uJaala aap ka



8. agar hum kahen aur wo mushkura dein
hum unke liye zindgaani luta dein

har ik mod par hum gamon ko sazaa dein
chalo zindagi ko mohabbat bana dein

agar khud ko bhoole to kuch bhi na bhoole
ke chaahat mein unkee khuda ko bhula dein

kabhi gam kee aandhi jinhen choo na paaye
wafa ke hum wo nashe-man bana dein

qayaamat ke deewaane kehte hain humse
chalo unke chehre se parda hata dein

saza de silaa de, bana de mitaa de
magar wo koi fiaslaa to sunaa de

No comments: