Lyrics : Qateel Shifai (1)
Rahat Indoree (2)
Liqayat Ali Azim (3)
Wajida Tabassum ( 4 & 5)
Zaka Siddiqi (6)
Ayaz Jhansvi (7)
Nida Fazli (8)
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
1. apne hothon par sajaana chaahta hoon
aa tujhe main gun-gunaana chaahta hoon
koi aansoo tere daaman par girakar
boond ko moti banaana chaahta hoon
thak gaya main karte-karte yaad tujhko
ab tuJhe main yaad aana chaahta hoon
chaa raha hai saari basti mein andhera
roshni ko ghar jalaana chaahta hoon
aakhri hichki tere zaano pe aaye
maut ko bhi shaayarana chaahta hoon
2. dosti jab kisi se ki jaye
dushmano ki bhi raaye li jaye
maut ka zahar hai fizaon mein
ab kahan ja kay saans li jaye
bas isi sonch mein hoon dooba hua
ye nadi kaise paar ki jaaye
mere maazi ke zakhm bharne lage
aaj phir koi bhool ki jaye
botlayen khol ke to pee barson
aaj dil khol ke bhi pee jaye
3. kahin aisa naa ho daaman jala lo
hamaare aansoon par khaak daalo
manaana hi zaroori hai to fir tum
hume sabse khafa hokar mana lo
bahut royi huyee lafti hain aankhen
meri khaatir zara kaajal laga lo
akelepan se khauf aata hai mujhko
kahan jo ae mere khwab-o-khayaalon
bahut masoom baitha hoon main tumse
kabhi aakar mujhe hairat mein daalo
4. yaa to mit jaa'iye ya mita dijiye
kijiye jo bhi sauda khaRa kijiye
ab jafa kijiye ya wafa kijiye
aakhri waqt hai bas dua kijiye
apnee chehre se zulfen hata dijiye
aur phir chaand ka saamna kijiye
har taraf phool hi phool khil jaayenge
aap aise hee hanste raha kijiye
aapki ye hansi jaise ghoongru baje
aur qayamat hai kya ye bata dijiye
5. kaise kaise haadse sehte rahe
hum yunhi jeete rahe hanste rahe
uske aa jaane ki um'meeden liye
raasta mud mud ke hum takte rahe
waqt to gujra magar kuch is tarah
hum charaagon ki tarah jalte rahe
kitne chehre the humaare aas-paas
tum hi tum dil mein magar baste rahe
6. khaamoshi khud apni sada ho aisa bhi ho sakta hai
sannata hee goonj raha ho aisa bhi ho sakta hai
mera maaji mujh se bichad kar kya jaane kis haal mein hai
meri tarah wo bhi tanha ho aisa bhi ho sakta hai
sehra sehra kab tak main dhoondoon ulfat ka ek aalam
aalam aalam ik sehraa ho aisa bhi ho sakta hai
aehle toofaan soch rahe hain saahil dooba jaata hai
khud unka dil doob raha ho aisa bhi ho sakta hai
7. bebasi jurm hai hauslaa jurm hai
zindagi teri ek-ek adaa jurm hai
ae sanam tere baare mein kuch sochkar
apne baare mein kuch sochna jurm hai
yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha
bhool jaana tujhe doosra jurm hai
kya sitam hai ke tere haseen sehar mein
har taraf gaur se dekhna jurm hai
8. jab kisi se koi gila rakhna
saamne apne aai'ina rakhna
yun ujaalon se waasta rakhna
shamma ke paas hi hawa rakhna
ghar ki taameer chaahe jaisi ho
ismen rone ki jageh rakhna
masjiden hain namaaziyon ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
milan-julna jahan zaroori ho
milne-julne ki hauslaa rakhna
No comments:
Post a Comment