Thursday, January 1, 2009

Kahkashan 1991-92

Lyrics : Josh Malihabadi (2,10,13,15,20,21)
Hasrat Mohani (3,4,7,9,19)
Asghar Gondvi (5)
Jigar Moradabadi (8,11,14,16,18)
Majaz (27)
Makhdoom (28,36)
Firaq Gorakhpuri (33)
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh (rest of it)
Chitra Singh (7)
Vinod Sehgal (8,11,14,16)
Ram Kumar (19)
Kumar Sanu (28)
Asha Bhonsle (34) with Jagjit



Volume I

1. humdum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiran
guzre hain laakh baar isi kahkashaan se hum



2. tujhse ruksat ki wo shaam-e-ashq afsaan hai-hai
wo udaasi wo fizaayen giriya-saame haai-haai

yaa kafe ka chuum lene ki bhi ji se aarzoo
waa bagal giri ka sharmaaya sa armaa haai-haai

wo mere hoton pe kuch kehne ki hasrat waaye shaam
wo teri aankhon mein sun-ne ka armaan haaye-haaye




3. todkar ahde karam naashna ho jaiye
banda parwar jaaiye , achha khafa ho jaiye
raah mein miliye kabhi mujhse to azraahe sitam
hont apne kaat kar fauran juda ho jaaiye

jee mein aata hai ke us shokhe tagaful kesh se
ab na miliye fir kabhi aur bewafa ho jaaiye
hai ri be-ikhtiyari ye to sab kuch ho magar
us sarapa naaz se kyoonkar khafa ho jaaiye




4. chupke chupke raat din aansoon bahana yaad hai
humko ab tak aashiqui ka wo zamana yaad hai

tujh se kuch hi milte hi wo be-baak ho jaana mera
aur tera daanton mein wo ungli dabaana yaad hai

kheench lena wo mera parde ka kona daf-fatan
aur dupatte se tera wo muh chhupaana yaad hai

do paher ke dhoop mein, mere bulaane ke liye
wo tera kothe pe nange paaon aana yaad hai





5. nazar wo hai ke jo kauno makan ke paar ho jaaye
magar jab ruh-e-taaban par pade bekaar ho jaaye

nazar us husn par thehre to aakhir kis tarah thahre
kabhi jo phool ban jaaye kabhi rukhsaar ho jaaye

chala jaata hoon hansta kehlta mauj-e-hawadish se
agar aasaaniyan ho zindagi dushwaar ho jaaye



6. hum_dum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiran
guzre hain laakh baar isi kahkashaan se hum



7. ab to uth sakta nahin aankhon se maare intezaar
kis tarah kaate koi lay-lo-nahaare intezaar

unki ulfat ka yakeen ho unke aane ki ummeed
honge dono suraten tab hain bahar-e-intezaar

meri aaHen na-rasam meri duaayen na-qubool
ya-ilaahi kya karoon main sharm sa re intezaar

unke khat ki aarzoo hai unke aamad ka khayaal
kis kadar faila hua kaarwaan re intezaar



8. shaayar-e-fitrat hoon, jab fikr farmaata hoon main
rooh bankar zarre zarre mein shama jaata hoon main

aake tujh bin is tarah ae' dost ghabrata hoon main
jai har shay mein kisi shay ki kami paata hoon main

teri mehfil tere jalwe fir takaza kya suroor
le utha jaata hoon zaalim le chala jaata hoon main

haay-ri mazbooriyan karke mohabbat ke liye
muJhko samJhaate hain wo aur unko samJhaate hoon main

ek dil hai aur toofaan-e-hawadis-e-zigar
ek sheesha hai ke har patthar se takraata hoon main



9. roshan jamal-e-yaar se hai anjuman tamaam
dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamaam

allah re jism-e-yaar ki khoobi ke khud-ba-khud
ranginiyon mein doob gaya pairaahan tamaam

dekho to chasm-e-yaar ki jaadoo nighaayen
behosh ik nazar mein huye anjuman tamaam



10. bol iktaare jhan jhan jhan jhan
kahkashaan hai meri sumran
shaam ki surkhi mera kundan
noor ka tadka meri chilman
tod chuka hoon saare bandhan
poorab pachham uttar dakkhhan
bol iktaare jhan jhan jhan jhan

mere tan mein gulshan sabke
mere man mein joban sabke
mere ghat mein saachan sabke
meri surat darshan sabke
sabki surat mera darshan
bol iktaare jhan jhan jhan jhan

sabki jholi meri jholi
sabki toli meri toli
sabki holi meri holi
sabki boli meri boli
sabka jeewan mera jeewan
bol iktaare jhan jhan jhan jhan

sabke kaajal mere paare
sabki aankhen mere taare
sabki saanse meri dhaare
saare insaan mere pyaare
saari dharti mera aangan
bol iktaare jhan jhan jhan jhan




11. bangal ki main shaam-o-shahar dekh raha hoon
har chand ke hoon door magar dekh raha hoon

iflaas ki maari hui makhlookh sare raah
be-goro kafan khaak basar dekh raha hoon

insaan ke hote huye insaan ka ye hashr
dekha nahin jaata hai magar dekh raha hoon

rehmat ka chamakne ko hai fir nayare taaban
hone ko hai is shab ki sahar dekh raha hoon



12. humdum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiran
guzre hain laakh baar isi kahkashaan se hum



13. kis ko aati hai masihaayi kise aawaaz doon
bol ae' khoonkhaar tanhaayi kise aawaaz doon

chup rahoon to har nafas dasta hai naagan ki tarah
aah bharne mein hai ruswaayee kise awaaz doon

oof khamoshi ki ye aahen dil ko barmaati huyi
oof ye sannaate ki shehnaayi kise awaaz doon



14. agar na zohro-jabeenon ke darmayan guzre
to fir ye kaise kate zindagi kahan guzre

mujhe ye wahem raha muddataon ke zurrate saur
kahin na khaatir-e-maasoom par garaan guzre

khata muaaf zamaane se badguma hokar
teri wafa pe bhi kya kya hame' guma guzre

mujhe tha shikwa-e-hijraan ke ye hua mehsoos
mere kareeb se hokar wo naagahaan guzre




15. kya hind ka zinda kaanp raha hai
kya goonz rahi hai taqbeeren
uktaaye hain shaayad kuch qaidi
aur tod rahen hain zanzeeren

deewaaron ke neeche aa-aakar
yun jama huye hain zindaani
seenon mein tala oon bijli ka
aakhon mein jhalakti shamsheeren

kya unko khabar thi hothon par
jo mohre lagaaya karte the
ik roz isi khaamoshi se
tapkegi dhahakti takreeren

sambhalke wo zinda goonz utha
jhapto ke wo qaidi chhoot gaye
uttho ke wo baithi deewaaren
daudo ke wo tooti zanzeeren



16. tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai

qayamat kya ye aib husn-e-do-aalam hoti jaati hai
ke mehfil to wahi hai dilkashi kam hoti jaati hai

wahi hai shaahid aur saaqi magar dil bujhta jaata hai
wahi hai shamma lekin roshni kam hoti jaati hai

wahi hai zindagi lekin zigar ye haal hai apnaa
ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai



17. humddum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiran
guzre hain laakh baar isi kahkashaan se hum



18. muddat mein wo fir taaza mulaakaat ka aalam
khaamosh adaaon mein wo jazbaat ka aalam

alaah re wo siddhat-e-jazbaat ka aalam
kuch keh ke wo bhooli huyi har baat ka aalam

aariz se dhalakte huye shabnam ke wo qatre
aakhon se jhalakta hua barsaat ka aalam

wo nazron hi nazron mein sawalaat ki duniya
wo aakhon hi aakhon mein jawaabaat ka aalam



19. khayal-e-Ghair ko dil se nikaalo ya_rasool_allaah
sirhad ko apna deewaana bana do ya_rasool_allaah

tajalli toor par jis noor ki moosaame dekhi thi
hame bhi ik jhalak uski dikha do ya_rasool_allaah

hussain ib ne ali ke saBr ne jiske maje loote
hame bhi us bala ka hauslaa do ya_rasool_allaah




20. ae' watan mere watan rooh-e-rawaani-ehra
ae' ke zarroo mein tere boo-e-chanman-rang-e-bahaar
rez-e-alwaas ke tere khaso-khaashaaq mein hai
haddiyaan apne buzurgon ki teri khaak mein hai
tujhse mooh modke mooh apna dikhaayenge kahan
ghar jo chodenge to fir chaaw nichaayenge kahan
bazm-e-agiyaar mein aaraam ye paayenge kahan
tujhse hum ruthke jaayenge to jaayenge kahan



21. ae' malihaabaad ke rangeen gulistaan alwida
alwida-e-sar-zameen-e-subahe_khanda alwida
alwida-e-kishwareesh-e-ro_shabistaan alwida
alwida-e-jalwa-gaahe husn-e-jaana alwida
tere ghar se ek zinda laash utth jaane ko hai
aa gale milne ke aawaaz-e-jaras aane ko hai

haaye kya kya neebate muJko mili thi bebahaar
ye khamoshi ye khule maidaan ye dhandi hawaa
waye-e-jaam-aksh bustha haaye ye rangeen fazan
mar ke bhi inko na bhoolega dil-e-dar aashnaa
masth koyal jab dagan ki waadiyon mein gaayegi
ye subuk chaaon babulon ki bahut yaad aayegi

kal se kaun is baag ko rangeen banaane aayega
kaun phoolon ki haseen par muskuraane aayega
kaun is sabze ko sote se jagaane aayega
kaun in paudho ko seene se lagaane aayega
kaun jaagega kamar ke naazukaane ke liye
chaandni raaton ko zaanon par sulaane ke liye

aam ke baagon mein jab barsaat hogi kurkharosh
meri furkat mein lahoo royegi chasm-e-main farosh
ras ki boonde jab uda degi gulistaan rooh ke hosh
unje rangeene pukaareingi hawaye josh josh
sun ke mera naam mausam gham zara ho jayega
ek mehshar sa gulistaan mein wafa ho jaayega

aa gale mil le khuda-haafiz gulistaan-e-watan
ae' amaani ganj ke maidaan ae' jaan-e-watan
alwida ae' laala_zaaro soombulistaan-e-watan
as-salam-e-sohbat-e-rangeen-yaaraan-e-watan
hashr tak rahne na dena tum dagan ki khaak mein
dafn karna apne shaayar ko watan ki khaak mein



22. humdum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiran
guzre hain laakh baar isi kahkashaan se hum

Volume II


23. shaher ki raat aur main naashad-o-naakara firoon
jagmagati jaagti sadkon pe awwara firooon
ghair ki basthi hai kab tak dar badar mara firoon
ae gham-e-dil kya karoon ae wahshat-e-dil kya karoon

ye rupahli chaon mein aakashh par taaron ka jaal
jaisi sufi ka tasawwur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kaun samJhe kaun jaane jee ka haal
ae gham-e-dil kya karoon ae wahshat-e-dil kya karoon

raat hans hans kar ye kehti hai ke maikhaane mein chal
fir kisi shehnaz-e-lala-rukh ke kaashaane mein chal
ye nahin mumkin to fir ae dosth veeraane mein chal
ae gham-e-dil kya karoon ae wahshat-e-dil kya karoon

jee mein aata hai ye murda chaand taare noch loon
is kinaare noch loon aur us kinaare noch loon
ek do ka zikr kya saare ke saare noch loon
ae gham-e-dil kya karoon ae wahshat-e-dil kya karoon

raaste mein ruk ke dum le loon meri aadat nahin
laut kar waapas chala jaaoon meri fitrat nahin
aur koi humnawa mil jaaye ye kimat nahin
ae gham-e-dil kya karoon ae wahshat-e-dil kya karoon



24. hijaab-e-fitna parwar ab utha leti to achha tha
khud apne husn ko parda bana leti to achha tha

teri neechi nazar khud teri ismat ki muhafiz hai
tu is nashtar ki tezi aazma leti to achha tha

tere maathe ka tika mard ki kismat ka taara hai
agar tu saaz ye bedari utha leti to achha tha

teri maathe pe ye aanchal bahut hi khoob hai lekin
tu is aanchal se ik barcham bana leti to achha tha



25. taskeen-e-dil-e-mehzoom na hui wo sayye karam farma bhi gaye
is sayye karam ko kya kahiye behla bhi gaye tadpa bhi gaye

hum marz-e-wafa bhi kar na sake, kuch keh na sake, kuch sun na sake
yaa humne jaba hi kholi thi waa aankh jhuki sharma bhi gaye

is mehfil-e-kaif-o-masthi mein, is anjuman-e-irfaani mein
sab jaam bakaf baithe hi rahe hum pee bhi gaye chhalka bhi gaye



26. dekhna jazb-e-mohabbat ka asar aaj ki raat
mere shaane pe hai us shokh ka sar aaj ki raat

nur hee nur hai kis simt uthaoon aankhe
husn hee husn hai taahat-e-nazar aaj ki raat

nagma-o-mai ka ye toofan-e-tarab kya kehna
mera ghar ban gaya khayyam ka ghar aaj ki raat

nargis-e-naaz mein wo neend ka halka sa khumaar
wo mere naghma-e-sheri ka asar aaj ki raat



27. ab mere paas tum aayi ho to kya aayee ho
maine maana ke tum ik paikar-e-raanaee ho
chaman-e-daher mein rooh-e-chamanarayee ho
tallat-e-meher ho firdaus ki barnai ho
bint-e-mehtaab ho gardoo se utar aayi ho
mujhse milne mein abandesha-e-ruswaayee hai
maine khud apne kiye ki ye saza paayi hai
ab mere paas tum aayi ho to kya aayee ho

un dino mujhpe qayamat ka junoon taari tha
sar pe sarshaari-o-ishrat ka junoon taari tha
maahpaaron se mohabbat ka junoon taari tha
shehri yaaron se raqabat ka junoon taari tha
bistar-e-makhmal-o-sanjaab thi duniya meri
ek rangeen-o-haseen khwaab thee duniya meri

kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar
meri fariyaad-e-jigar doz mera lala-e-zaar
shiddhat-e-kard mein doobi huyee meri guftaar
main ke khud apne mazak-e-tarabgee ka shikaar
wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahan se laaoon
ab mein wo zazba-e-masoom kahan se laaoon
ab mere pass tum aayi ho to kya aayi ho



28. jaane wale sipaahi se poochho wo kahan jaa raha hai
kaun dukhiya hai jo gaa rahi hai
bhookhe bachhon ko behla rahi hai
laash jalne ki boo aa rahi hai
zindagi hai ke chilla rahi hai

kitne sehme huye hain nazaare
kaisa dar-dar ke chalte hain taare
kya jawaani ka khoon ho raha hai
surkn hain aanchalon ke kinaare

gir raha hai siyaahi ka dera
ho raha hai meri jaaN sawera
O watan chhod kar jaane waale
khul gaya inqalabee farera



29. sham-e-gham kuch us nigah-e-naaz ki baaten karo
bekhudi badhti chali hai raaz ki baaten karo

ye sukut-e-naaz ye dil ki ragon ka tootna
khamoshi mein kuch shikast-e-saaz ki baaten karo

kuch kafas ki tiliyon se chha raha hai noor saa
kuch faza kuch hasraten parwaaz ki baaten karo

nakhaten zulfen pareshaan daastaan-e-shaam-e-gham
suboh hone tak isi andaaz ki baaten karo



30. ye jo kaul-o-karaara hai kya hai
shak hai ya aitbaar hai kya hai

ye jo uttha hai dil mein reh reh kar
abr hai yaa gubaar hai kya hai

zer-e-lab ik jhalak tabassum ki
barq hai ya sharaar hai kya hai

koi dil ka makaam samjhaao
ghar hai ya rehguzaar hai kya hai

na khula ye ke saamna tera
deed hai, intezaar hai kya hai



31. kisi ka yoon to hua kaun umr bhar fir bhi
ye husn-o-ishq to dhokha hai sab magar fir bhi

hazaar baar zamaana idhar se guzra hai
nayee nayi si hai kuch teri reh-guzar fir bhi

teri nigaah se bachne mein umr guzri hai
utar gaya rag-e-zaam mein ye neshtar fir bhi




32. ghazal ka saaz utthao badi udaas hai raat
nawa-e-vee sunao badi udaas hai raat

kahe na tumse to fir aur kisse jaake kahen
siyaah-julf ke saayo badi udaas hai raat

suna hai pehle bhi aise mein bujh gaye hain charaag
dilon ki khair manaao badi udaas hai raat

diye raho tum yuhin kuch der aur haath mein haath
abhi na paas se jaao badi udaas hai raat



33. ab aksar chup chup se rahe hain yun hi kabu lab khole hain
pehle firaq dekha hota ab to bahut kam bolen hain

din mein humko dekhne waalon apne apne hain aukaat
jaao na tum in khusk aankhon ko hum raaton ko role hain

gam ka fasana sunne-waalo aakhir ye shab aaraam karo
kal bhi kahani fir chhedenge hum bhi zara ab sole hain



34. raat bhar deed-e-namnaar mein lehraate rahe
saans ki tarha se aap aate rahe jaate rahe

khush the hum apne tamaannao ka khwaab aayega
apna armaan baraf ganda naqaab aayega

aa gayi thi dil-e-muztar mein shikee-baaye se
baz rahi thi mere gham khaane mein shehnayi si

shab ki jaagi hui taaro ko bhi neend aane lagi
aap ke aane ki ik aas thi ab jaane lagi

suboh ne sej se uthte huye li angdayi
os saba too bhi jo aayi to akeli aayi



35. ek chameli ke mandwe tale
maikade se zara door us mod par
do badan do badan
do badan pyaar ki aag mein jal gaye

pyar harf-e-wafa
pyaar unka khuda
pyaar unkee chita
do badan do badan
do badan pyaar ki aag mein jal gaye

humne dekha unhen
din mein aur raat mein
noor-o-zulmaat mein
do badan, do badan
do badan pyaar ki aag mein jal gaye

masjidon ke munaaron ne dekha unhe
mandiron ke kiwadon ne dekha unhe
maikade kee dadaadon ne dekha unhe
do badan do badan
do badan pyaar ki aag mein jal gaye

azazalta abad ye bata chaaragar
teri zambir mein
nuskha yeki miaaye mohabbat bhi hai
kuch ilaaz-o-mudaawa-e-ulfat bhi hai
do badan do badan
do badan pyaar ki aag mein jal gaye



36. ishq ke shole ko bhadkao ki kuch raat kate
dil ke angaar ko dehkao ke kuch raat kate

hijr mein milne shab-e-maah ke gham aaye hain
chaarasaajo ko bhi bulwaao ke kuch raat kate

chasm-o-rukhsaar ke azgaar ko jaari rakkho
pyaar ke naghme ko dohraao ke kuch raat kate

kohe gham aur garaan aur garaan aur garaan
ghamza-do-tesh ko chamkaao ke kuch raat kante

No comments: