Tuesday, January 6, 2009

Face to Face 1993

Lyrics : Saabir Dutt (1)
  Khamosh Ghazipuri (2)
  Shaahid Kabir (3)
  Rajesh Reddy (4)
  Daag and Ameer Minayee (5)
  Hasti (6)
  Zaka Siddhiki (7)
  Sudarshan Faakir (8)
  Music : Jagjit Singh 
  Voices : Jagjit Singh


1. sachchi baat kahi thi maine
  logon ne sooli pe chadhaya
  mujhko zehar ka jaam pilaaya
  phir bhi unko cha'in na aaya
  sachchi baat kahi thi maine
   
  leke jahan bhi waqt gaya hai
  zulm mila hai zulm saha hai
  sach ka ye inaam mila hai
  sachchi baat kahi thi maine

  sab se behtar kabhi na ban'na
  jag ke rehbar kabhi na ban'na
  peer pa'yambar kabhi na ban'na
  sachchi baat kahi thi maine

  chup rehkar hi waqt guzaaro
  sach kehne pe jaan math waaro
  kuch to seekho mujh se yaaro
  sachchi baat kahi thee maine



2. dairo haram mein basne waale
  mai-kharo mein phoot na daalo

  toofaan se hum takrayenge
  tum apni kashthi ko sambhalo

  maikhana mein aaye waaee'z
  inko bhi insaan bana lo

  aarizon-lab saada rehne do
  tajmahal pe rang na daalo




3. besabab baat badhaane ki zaroorat kya hai
  hum khafa kab the manane ki zaroorat kya hai
   
  aapke dum se to duniya ka bharam hai kaayam
  aap jab hain to zamaane ki zaroorat kya hai

  tera kucha, tera dar, teri gali kaafi hai
  be-thikano ko thikane ki zaroorat kya hai

  dil se milne ki tamanna hi nahin jab dil mein
  haath se haath milaane ki zaroorat kya hai

  rang aankhon ke liye boo hai damaagon ke liye
  phool ko haath lagaane ki zaroorat kya hai




4. zindagi tune lahoo leke diya kuch bhi nahin
  tere daaman mein mere waaste kya kuch bhi nahin

  mere in haathon ki chaaho to talaashi le lo
  mere haathon mein lakiron ke siwa kuch bhi nahin

  humne dekha hai kai aise khudaon ko yahan
  saamne jinke wo sach much ka khuda kuch bhi nahin


  yaa khuda ab ke ye kis rang se aayi hai bahaar
  zard hi zard hai pedon pe hara kuch bhi nahin

  dil bhi ik zid pe aaa hai kisi bachche ki tarah
  ya to sab kuch hi ise chaachiye ya kuch bhi nahin



5. tumne badle humse gin-gin ke liye
  humne kya chaaha tha is din ke liye

  wasl ka din aur itna mukhtasar
  din gine jaate the is din ke liye

  wo nahin sunte hamari kya karen
  maangte hain hum dua jinke liye

  chaahne waalo se gar matlab nahin
  aap phir paida hua kinke liye

  baarabaan kaliyan ho halqe rang ki
  bhejnee hai ek kamsin ke liye



6. pyaar ka pehla khat likhne mein waqt to lagta hai
  naYe parindo ko ud'dne mein waqt to lagta hai
 
  jism ki baat nahin thi unke dil taq jaana tha
  lambi doori tay karne mein waqt to lagta hai

  gaanth agar pad jaaye to phir rishte ho ya dori
  laakh karen koshish khulne mein waqt to lagta hai

  humne ilaaze zakhme dil to dhoond liya lekin
  gehRe zakhmon ko bharne mein waqt to lagta hai 
   
 


7. jeete rehne ki saza de, zindagi ae zindagi
  ab to marne ki dua de zindagi ae zindagi
  
  main to ab uqta gaya hoon kya yahi hai qaayanaat
  bas Ye aa'ieena hata de zindagi ae zindagi

  dhoondne niklaa tha tujhko aur khud ko kho diya
  tu hi ab mera pata de zindagi ae zindagi

  yaa mujhe ehsaas ki is qaid se kar de rihaa
  waRna deewana banaade zindagi ae zindagi


 
8. sheiKhji thodi si peekar aa'iye
  mai hai kya shai phir hume batlaa'iyee
  
  aap kyoon hain saari duniya se khafa
  aap bhi dushman mere ban jaa'iye

  kya hai achcha, kya bura banda-nawaaz
  aap samJhen to hume samJhaa'iye 
  
  jaane dije akl ki baaten janaab
  dil ki suniye aur peete jaa'iye


No comments: