Tuesday, January 6, 2009

Your Choice 1993

  Lyrics : Qateel Shifai (1,2)
  Seemab (4,11,12,14,15)
  Saeed Rahi (5)
  Rahi Masoom Reza (6,13)
  Sudharshan Faakir (7,10)
  Fani Bad ayani (8)
  Sardar Anjum (9)
  Music : Jagjit Singh 
  Voices : Jagjit Singh
  Chitra Singh


  1. kiya hai pyar jise humne zindagi ki tarah
  wo aashna bhi mila humse ajnabi ki tarah

  kise khabar thi badhegi kuch aur tareeqi
  chupega wo kisi badli mein chandni ki tarah

  badha ke pyaas meri usne haath chhod diya
  wo kar raha tha murawwat bhi dillagi ki tarah
   
  sitam to ye hai ke wo bhi na ban saka apna
  qabool humne kiye jiske gam khushi ki tarah

  kabhi na socha tha humne 'qateel' uske liye
  karega hum pe sitam wo bhi har kisi ki tarah



2. wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
  main tuJhko bhool ke zinda rahoon khuda na kare

  rahega saath tera pyaar zindagi bankar
  ye aur baat meri zindagi wafa na kare

  suna hai usko mohabbat duayen deti hai
  jo dil pe chot to khaaye magar gila na kare

  ye theek hai nahin marta koi judayi mein
  khuda kisi ko kisi se magar juda na kare


3. tujhko darya dili ki kasam saaqiya,
  mustakil daur par daur chalta raha
  raunak-e-maikada yoon hi badhti rahe 
  ek girta rahe ik sambhalta rahe

  shirf sabnam hi shaan-e-gulistaa nahin
  shola-o-gul ka bhi daur chalta rahe
  ashq bhi chasm-e-purnam se behte rahe
  aur dil se dhooan bhi nikalta rahe

  tere kabze mein hai ye mizaami jahaan
  tu jo chaahe to sehra bane gulsitaan 
  har nazar par teri phool khilte rahe
  har ishaare pe mausam badalta rahe

  tere chehre pe ye zulf bikhri huyee
  neend ki godh mein subah nikhri huyi
  aur is par sitam ye adaayen teri
  dil hai aakhir kahan tak sambhalta rahe

  is mein khoon-e-tamanna ki taaseer hai
  ye wafa-e-mohabbat ki tasveer hai
  aisi tasveer badle ye mumkeen nahin
  rang chaahe zamaana badalta rahe



4. muJhse milne ke wo karta tha bahaane kitne
  ab guzaarega mere saath zamaane kitne

  main gira tha to bahot log ruke the lekin
  sochta hoon mujhe aaye the uthaane kitne

  jis tarah maine tujhe apna bana rakha hai
  sochte honge yahi baat na jaane kitne

  tum naya zakhm lagao tumhe isse kya hai
  bharne waale hai abhi zakhm puraane kitne



5. uski baaten bahaar ki baaten 
  waadiye na lazaar ki baaten

  gul-o-shabnam ka jikr kar na abhi
  mujhko karni hai yaar ki baaten

  sheikh maikada hai qaaba nahin
  yaaN to hogi khumaar ki baaten

  ishq ka kaarwaan chala bhi nahin
  aur abhi se gubaar ki baaten

  ye kafas aur tera khayaal-e-hasin
  us pe harsoon bahaar ki baaten



6. hum to hain pardesh mein desh mein nikla hoga chaand
  apni raat ki chhat par kitna tanha hoga chaand ho..
 
  jin aankhon mein kaajal bankar tairi kaali raat
  un aankhon mein aansoo ka ik katra hoga chaand

  raat ne aisa pech lagaya tooti haath se dor
  aangan waale neem mein jaakar atka hoga chaand

  chaand bina har din yoon beeta jaise yug beete
  mere bina kis haal mein hoga kaisa hoga chaand
   

7. zakhm jo aapki inaayat hai is nishaani ko kyaa naam de hum
  pyaar deewar ban ke reh gaya hai, is kahaani ko kya naam de hum

  aap ilzaam dhar gaye hum par, ek ehsaan kar gaye hum par
  aapki ye bhi meharbaani hai, meharbaani ko naam kya de hum

  aap ko yun hi zindagi samjha, dhoop ko humne chaandni samjha
  bhool hi bhool jiski aadat hai, ik jawaani ko naam kya de hum

  raat sapna bahaar ka dekha, din hua to gubaar sa dekha
  bewafa waqt bezubaan nikla, bezubaani ko naam kya de hum


8. chale bhi aao wo hai kabr-e-faani dekhte jaao
  tum apne marne waale ki nishaani dekhte jaao

  abhi kya hai kisi ki hoo rulayegi ye khamoshi
  zubaan-e-haal ki zaado bayaani dekhte jaao

  guroor-e-husn ka sadka koi jaata hai duniya se
  kisi ki khaak mein milti jawaani dekhte jaao

  sune jaate na the tumse mere din-raat ke shikwe
  kafan sar ka meri mezbaani dekhte jaao



9. humsafar hota koi to baant lete dooriyaan
  raah chalte log kya samJhe meri majbooriyaan

  muskuraate khwaab chunti gun-gunaati ye nazar
  kis tarah samJhe meri kismat ki na-manzooriyaan

  haadison ki bheed hai chalta hua ye kaarwaan
  zindagi ka naam hai laachaariyaan majbooriyan
  
  fir kisi ne aaj cheda zikr-e-manzil is tarah
  dil ke daaman se lipatne aa gayi hain dooriyaan



10. aaj tum se bichhad raha hoon main 
  aaj kehta hoon fir miloonga tumhe
  tum mera intezaar karti raho
  aaj ka aitbaar karti raho
  
  log kehte hain waqt chalta hain
  aur insaan bhi badalta hai
  kaash ruk jaaye waqt aaj ki raat
  aur badle na koi aaj ke baad

  waqt badle ye dil na badlega
  tum se rishta kabhi na tootega
  tum hi khooshboo ho meri saanso ki
  tum hi manzil ho mere sapno ki

  log boonte hain pyaar ke sapne
  aur sapne bikhar bhi jaate hain
  ek ehsaas hi to hai ye wafa
  aur ehsaas mar bhi jaate hain



11. nama gaya koi na koi naamabar gaya
  teri khabar na aai zamaana guzar gaya

  hansta hoon yoon ke hijr ki raaten guzar gayin
  rota hoon yoon ke lutf-e-duaayen saher gaya

  ab mujko hai qaraar to sab ko qaraar hai
  dil kya dhahar gaya ke zamaana thahar gaya
   
  ya rab nahin main waapise rudaad-e-zindagi
  itna hi yaad hai ke jiya aur mar gaya



12. gham muJhe hasrat muJhe wehsat mujhe sauda mujhe
  ek dil dekar kuhda ne de diya kya kya mujhe

  ye namaz-e-ishq hai kaisa adab kiska adab
  apne paaye naaz par karne bhi do sazda mujhe

  dekhte hi dekte duniya se main uth jaunga
  dekhti ki dekhti reh jaayegi duniya mujhe 



13. dil ke ujle kaagaz par hum kaisa geet likhen
  bolo tumko gair likhen ya apna meet likhen

  neele ambar ki angnai mein taaron ke phool
  mere pyaase hoton par hai angaaron ke phool
  in phoolon ko aakhir apni haar ya jeet likhen

  koi puraana sapna de do aur kuch meethe bol
  lekar hum nikle hain apni aakhon ke kash khol
  hum banjaare preet ke maare kya sangeet likhen

  shaam khadi hai ek chameli ke pyaale mein shabnam
  jamuna ji ke oongli pakde khel raha hai madhuban
  aise mein ganga jal se radha ki preet likehn




14. na ho gar aashna nahin hota 
  buth kisi ka khuda nahin hota

  tum bhi oos waqt yaad aate ho
  jab koi aasraa nahin hota

  dil mein kitna sukoon hota hai
  jab koi muddawa nahin hota

  ho na jab tak shikar-e-naakami
  aadmi kaam ka nahin hota

  zindagi thi shabaab tak 'seemab'
  ab koi saaneha nahin hota



15. Shab-e-gham ae mere allah basar bhi hogi
  raat hi raat rahegi ke saher bhi hogi

  main ye sunta hoon ke wo duniya ki khabar rakhte hain
  jo ye sach hai to unhe meri khabar bhi hogi

  chain milne se hai unke na juda rehne se
  aakhir ae ishq kisi tarha basar bhi hogi

No comments: