Friday, September 4, 2009

Come Alive

Volume I 

dostoN,

aap sab ko dekh kar mera kaleza duguna ho gaya hai. hamari bhi
ab yahi koshish hai ke is shaam ka aap poora poora maza lekar
ghar lauteN.

aaj ki shaam ki ibteda hum kar rahe hain ek ghazal se shayar hain
nida fazli,uske baad chand nayee ghazlen pesh karenge fir jaisi
jaisi aap ki farmaaish rahegi...hmmm.....


1. duniya jise kehte haiN jaadoo ka ek khilona hai
  mil jaaye to miTTi hai, kho jaaye to sona hai

  




2. har soo dikhaayee dete hain wo jalwagar muJhe
  kya kya fareb deti hai meri nazar muJhe
  
  dala hai bekhudi ne ajab raah par muJhe
  aaNkheN hai aur kuch nahiN aata nazar muJhe
  
  dil leke muJhse dete ho daag-e-zigar muJhe
  ye baat bhoolne ki nahi umR bhar muJhe
  
  aaya na raasna laaye dil ka asar muJhe
  ab tum mile to kuch nahin apni khbahar muJhe
  



3. jab kabhi tera naam lete haiN
  dil se hum intekaam lete haiN
  
  meri barbaadiyoN ke afsaane
  mere yaaroN ke naam lete haiN
  
  bas yahi ek zurM hai apna
  hum mohabbat se kaam lete haiN
  
  har kadam par gire magar seekhaa
  kaise girtoN ko thaam lete haiN
  
  ham bhaTak kar zunooN ki raahoN meiN
  aKl se intekaam lete haiN
  

  
4. tum naihin, gham nahin sharaab nahiN
  aisi tanhaayee ka jawaab nahiN
 
  gaahe gaahe ise paDha kije
  dil se behtar koi kitaab nahiN
  
  jaane kis kis ki maut aayeee hai
  aaj ruKh pe koi naqaab nahiN
  
  wo karam oongliyoN pe ginte haiN
  zulm ka jinke kuch hisaab nahiN
  


5. kaun kehta hai mohabbat ki zubaaN hoti hai
  ye hakikat to nigaahoN se bayaaN hoti hai
  
  wo naa aaye to sataati hai khalish si dil ko
  wo jo aaye to khalish aur jawaan hoti hai
  
  rooh ko shaad kare dil ko jo purnoor kare
  har nazaare ki ye tanweer kahaN hoti hai
  
  zabt-e-sailaab-e-mohaabt ko kahan tak roke
  dil meiN baat ho aankhoN se ayaaN hoti hai
  
  zindagi ek sulagti si chitaa hai 'saahir'
  shola banti hai na ye buJh ke dhuwaN hoti hai  



6. sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista
  nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista

  jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda
  hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista
   
  sawal-e-vasl pe unko uduu ka khauf hai itna
  dabe hoToN se dete haiN jawab aahistaa-aahista

  hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna
  idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista

  baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse
  huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista

  sab-e-furkat ka jaaga hoon paristhoN ab to sone do
  kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista
  

Volume II


7. dhai din na jawaani naal chaldi (punjabi)



8. charka mera rangla (punjabi)



9. ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diya 
  warna kyaa baat thi kis baat ne rone na diya

  yaar ko maine ne mujhe yaar ne sone na diya
  raat bhar taal-e-deedar ne sone na diya

  aap kehte the ke rone se na badlenge naseeb
  uMr bhar aapki is baat ne rone na diya

  ek shab bulbul-e-betaab ke jaage na naseeb
  pehlu-e-gul ne kabhi khaaR ne sone na diya

  unse milkar hameN rona thaa bahut rona thaa
  tang ye waqt-e-mulaakat ne rone na diya

  raat bhar ki hile betaab ne baateN muJhse
  ranz-o-mehnat ki giraftaar ne sone na diya

  rone waaloN se kaho unka bhee rona roleN
  jinko majboor ye haalaat ne rone na diya




10. woh nahin milta muJhe iska giLa apni jagah
  uske mere darmiyaan ka faasla apni jagah

  zindagi ke is safar meiN saikDon chehre mile
  dilkashi unki alag hai paitar tera apni jagah

  tuJh se milkar aane waale kal se nafrat moLli
  ab kabhi tuJhse na bichdooN ye dua apni jagah

  ik musarsar daud mein hai manzileN aur faasle
  paaOn to apni jagah hai raasta apni jagah
   



11. koi paas aaya sawere sawere
  muJhe aajmaaya sawere sawere

  meri daastaaN ko zara sa badal kar
  muJhe hi sunaaya sawere sawere

  jo kehta thaa kal shab sambhalna sambhalna
  wahi lad-khadaaya sawere sawere

  kati raat saari meri maikade meiN
  khuda yaad aaya sawere sawere




12. meri tanhaiyoN tum hi laga lo muJhko seene se
  ke maiN ghabraa gaya hooN is tarah ro ro ke jeene se

  ye aadhi raat ko fir choodiyaan si kya khanakti hai
  koi aata hai ya meri hi zanzeereN chanakthi hai
  ye baaten kis tarah poochooN main saawan ke mahine se
  ke maiN ghabraa gaya hooN is tarah ro ro ke jeene se

  peene do muJhe apne hi lahoo ka jaam peene do
  na seene do kisi ko bhi mera daaman na seene do
  meri wahshat na badh jaaye kahin daaman ke seene se  
  ke maiN ghabraa gaya hooN is tarah ro ro ke jeene se




  Lyrics : Nida Fazli (1)
  Jigar Moradabadi(2)
  Sardar Anjum(3)
  Saeed Rahi (4,11)
  Sahir Hoshiyarpuri (5)
  Ameer Meenai (6)
  Inderjeet Hassanpuri(7,8)
  Sudarshan Faakir(9)
  Aatish (9)
  Iftikar Imam Siddiqi (10)
  Prem Warbartoni (12)
   
  Music : Jagjit Singh 
  Voices : Jagjit Singh 
  Chitra Singh

No comments: